dilkash gurez-pa shab-e-mahtab ki tarah
dilkash gurez-pā shab-e-mahtāb kī tarah
ye zindagī hai ek hasīñ ḳhvāb kī tarah
saaqī tire karam tirī dariyā-dilī kī ḳhair
ham tishna-lab haiñ sāhil-e-be-āb kī tarah
dil ke sadaf meñ ham ne chhupāyā hai umr-bhar
har ashk-e-ġham ko gauhar-e-nāyāb kī tarah
yāroñ ne merī raah meñ kitne ḳhulūs se
kāñTe bichhā.e atlas-o-kamḳhvāb kī tarah
kyā pūchhte ho lazzat-e-zahrāb-e-zindagī
ham pī rahe haiñ hañs ke mai-e-nāb kī tarah
dariyā-e-ġham hai aur safīna hayāt kā
har mauj-e-be-qarār hai girdāb kī tarah
ik hashr-e-iztirāb rag-o-pai meñ hai ravāñ
ik ik lahū kī buuñd hai sīmāb kī tarah
dushvār kis qadar haiñ mohabbat ke marhale
dushman bhī saath saath haiñ ahbāb kī tarah
ye aur baat hai ki rahā pās-e-ġham 'tufail'
be-tāb ham bhī the dil-e-betāb kī tarah
dilkash gurez-pa shab-e-mahtab ki tarah
ye zindagi hai ek hasin KHwab ki tarah
saqi tere karam teri dariya-dili ki KHair
hum tishna-lab hain sahil-e-be-ab ki tarah
dil ke sadaf mein hum ne chhupaya hai umr-bhar
har ashk-e-gham ko gauhar-e-nayab ki tarah
yaron ne meri rah mein kitne KHulus se
kanTe bichhae atlas-o-kamKHwab ki tarah
kya puchhte ho lazzat-e-zahrab-e-zindagi
hum pi rahe hain hans ke mai-e-nab ki tarah
dariya-e-gham hai aur safina hayat ka
har mauj-e-be-qarar hai girdab ki tarah
ek hashr-e-iztirab rag-o-pai mein hai rawan
ek ek lahu ki bund hai simab ki tarah
dushwar kis qadar hain mohabbat ke marhale
dushman bhi sath sath hain ahbab ki tarah
ye aur baat hai ki raha pas-e-gham 'tufail'
be-tab hum bhi the dil-e-betab ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.