dosti chand mulaqat se aage na baDhi
dostī chand mulāqāt se aage na baḌhī
shiddat-e-girya munājāt se aage na baḌhī
soz-e-dil dekhiye is bazm meñ parvāne kā
zindagī jis kī bas ik raat se aage na baḌhī
aa.e vo din meñ magar lutf vahī thā shab kā
zulf-e-shab-rang siyah raat se aage na baḌhī
ye baḌī raat magar vaah re apnī qismat
ye shab-e-qadr ibādāt se aage na baḌhī
din sitāroñ kī fanā raat fanā zarroñ kī
ye vo zid hai jo musāvāt se aage na baḌhī
chashm-e-giryāñ na kaho ye hai jhaḌī sāvan kī
koī mausam ho ye barsāt se aage na baḌhī
ek vo pī ke jise sair kareñ jannat kī
ek ye mai jo ḳharābāt se aage na baḌhī
kaise nādān ho qismat pe ho baiThe bekār
bas yahī aql ḳhayālāt se aage na baḌhī
pahle apnī to haqīqat zarā samjho 'dīvān'
ye vo miTTī hai jo auqāt se aage na baḌhī
dosti chand mulaqat se aage na baDhi
shiddat-e-girya munajat se aage na baDhi
soz-e-dil dekhiye is bazm mein parwane ka
zindagi jis ki bas ek raat se aage na baDhi
aae wo din mein magar lutf wahi tha shab ka
zulf-e-shab-rang siyah raat se aage na baDhi
ye baDi raat magar wah re apni qismat
ye shab-e-qadr ibaadat se aage na baDhi
din sitaron ki fana raat fana zarron ki
ye wo zid hai jo musawat se aage na baDhi
chashm-e-giryan na kaho ye hai jhaDi sawan ki
koi mausam ho ye barsat se aage na baDhi
ek wo pi ke jise sair karen jannat ki
ek ye mai jo KHarabaat se aage na baDhi
kaise nadan ho qismat pe ho baiThe bekar
bas yahi aql KHayalat se aage na baDhi
pahle apni to haqiqat zara samjho 'diwan'
ye wo miTTi hai jo auqat se aage na baDhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.