duniya saji hui hai jo bazar ki tarah
duniyā sajī huī hai jo bāzār kī tarah
maiñ bhī chalūñgā aaj ḳharīdār kī tarah
TuuTe hoñ yā purāne hoñ apne to haiñ yahī
ḳhvāboñ ko jam.a kartā huuñ āsār kī tarah
ye aur baat hai ki numāyāñ rahūñ magar
duniyā mujhe chhupā.e hai āzār kī tarah
merī kitāb-e-zīst tum ik baar to paḌho
phir chāhe pheñk do kisī aḳhbār kī tarah
ab zindagī kī dhuup bhī sīdhā karegī kyā
ab tak maiñ kaj rahā tirī dastār kī tarah
muddat huī ki ghūmtā phirtā huuñ rāt-din
afkār ke dayār meñ nādār kī tarah
is ḳhauf se ki saaya bhī apnā na chhūT jaa.e
ruk ruk ke chal rahā huuñ maiñ bīmār kī tarah
duniya saji hui hai jo bazar ki tarah
main bhi chalunga aaj KHaridar ki tarah
TuTe hon ya purane hon apne to hain yahi
KHwabon ko jama karta hun aasar ki tarah
ye aur baat hai ki numayan rahun magar
duniya mujhe chhupae hai aazar ki tarah
meri kitab-e-zist tum ek bar to paDho
phir chahe phenk do kisi aKHbar ki tarah
ab zindagi ki dhup bhi sidha karegi kya
ab tak main kaj raha teri dastar ki tarah
muddat hui ki ghumta phirta hun raat-din
afkar ke dayar mein nadar ki tarah
is KHauf se ki saya bhi apna na chhuT jae
ruk ruk ke chal raha hun main bimar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.