dur tak rengte qadmon ke nishan pae hain
duur tak reñgte qadmoñ ke nishāñ paa.e haiñ
jab kabhī apne ta.āqub meñ nikal aa.e haiñ
zindagī apnī kashākash hī meñ ghir kar ubhrī
hoñge vo aur jo hālāt se ghabrā.e haiñ
kyā rahe yaad bhalā yūrish-e-afkār meñ ab
kitne patthar ġham-e-ayyām ne barsā.e haiñ
ham ne har zarra ko baḳhshī hai tabassum kī ziyā
ham hī phir nang-e-vafā dahr meñ kahlā.e haiñ
zindagī aa kabhī muḌ kar zarā dekheñ to sahī
kitne zaḳhmoñ ke qadam raah meñ chhoḌ aa.e haiñ
aks hī aks haiñ chehroñ ke nishāñ tak bhī nahīñ
haa.e kis shahr meñ ham log nikal aa.e haiñ
kitnā pur-haul hai ye dasht-e-vafā bhī 'at.har'
bārhā apnī hī āvāz se tharrā.e haiñ
dur tak rengte qadmon ke nishan pae hain
jab kabhi apne taaqub mein nikal aae hain
zindagi apni kashakash hi mein ghir kar ubhri
honge wo aur jo haalat se ghabrae hain
kya rahe yaad bhala yurish-e-afkar mein ab
kitne patthar gham-e-ayyam ne barsae hain
hum ne har zarra ko baKHshi hai tabassum ki ziya
hum hi phir nang-e-wafa dahr mein kahlae hain
zindagi aa kabhi muD kar zara dekhen to sahi
kitne zaKHmon ke qadam rah mein chhoD aae hain
aks hi aks hain chehron ke nishan tak bhi nahin
hae kis shahr mein hum log nikal aae hain
kitna pur-haul hai ye dasht-e-wafa bhi 'athar'
barha apni hi aawaz se tharrae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.