ehsas-e-mohabbat ka jadu paiham yun chalta rahta hai
ehsas-e-mohabbat ka jadu paiham yun chalta rahta hai
Soz Sikandarpuri
MORE BYSoz Sikandarpuri
ehsās-e-mohabbat kā jaadū paiham yuuñ chaltā rahtā hai
har sham.a ke jal kar bujhne tak parvāna bhī jaltā rahtā hai
insāf kar ai saaqī tū hī piine meñ na kyoñ ho bad-mazgī
jab roz tire maiḳhāne kā dastūr badaltā rahtā hai
ma.alūm nahīñ jaanā hai kahāñ din raat yuuñ hī manzil manzil
rasta hai ki kaTtā jaatā hai raahī hai ki chaltā rahtā hai
le jaam uThā aur ḳhair manā in piine vāloñ kī saaqī
mai-ḳhvāroñ ke hangāme hī se mai-ḳhāna sañbhaltā rahtā hai
ik vo haiñ yahāñ tak aane meñ sau hiile bahāne karte haiñ
ik dil hai jo mere pahlū meñ har vaqt machaltā rahtā hai
sharmā.ī nigāhoñ kā aalam pūchhe to koī mere dil se
palkeñ haiñ ki jhuktī jaatī haiñ jaadū hai ki chaltā rahtā hai
hai is kā bharosa lā-hāsil ai soz javānī kā sūraj
chaḌhtā hai to chaḌhtā jaatā hai Dhaltā hai to Dhaltā rahtā hai
ehsas-e-mohabbat ka jadu paiham yun chalta rahta hai
har shama ke jal kar bujhne tak parwana bhi jalta rahta hai
insaf kar ai saqi tu hi pine mein na kyon ho bad-mazgi
jab roz tere maiKHane ka dastur badalta rahta hai
malum nahin jaana hai kahan din raat yun hi manzil manzil
rasta hai ki kaTta jata hai rahi hai ki chalta rahta hai
le jam uTha aur KHair mana in pine walon ki saqi
mai-KHwaron ke hangame hi se mai-KHana sanbhalta rahta hai
ek wo hain yahan tak aane mein sau hile bahane karte hain
ek dil hai jo mere pahlu mein har waqt machalta rahta hai
sharmai nigahon ka aalam puchhe to koi mere dil se
palken hain ki jhukti jati hain jadu hai ki chalta rahta hai
hai is ka bharosa la-hasil ai soz jawani ka suraj
chaDhta hai to chaDhta jata hai Dhalta hai to Dhalta rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.