ehsas ki qindil wo jalne nahin deta
ehsās kī qindīl vo jalne nahīñ detā
afkār ko ash.ār meñ Dhalne nahīñ detā
vo chashma-e-jazbāt ubalne nahīñ detā
āñkhoñ se mirī ashk nikalne nahīñ detā
girdāb-e-balā had se nikalne nahīñ detā
chāhūñ jo sañbhalnā to sañbhalne nahīñ detā
andāz-e-anā hai ki ye ehsās-e-nadāmat
jo zaat ke sahrā se nikalne nahīñ detā
nālāñ hai mire zehn se ḳhurshīd-e-tamannā
jo barf jamī hai vo pighalne nahīñ detā
ghere hai mujhe tark-e-ta.alluq kā vo lamha
mausam kī tarah rang badalne nahīñ detā
barsoñ jise samjhā.e the ādāb-e-marāsim
ab mujh ko vahī shaḳhs sañbhalne nahīñ detā
hai us ko sulagte hue mausam se shikāyat
ruḳh bhī vo havāoñ kā badalne nahīñ detā
is daur-e-taraqqī kā ye e.ajāz hai 'sājid'
farsūda rivāyāt pe chalne nahīñ detā
ehsas ki qindil wo jalne nahin deta
afkar ko ashaar mein Dhalne nahin deta
wo chashma-e-jazbaat ubalne nahin deta
aankhon se meri ashk nikalne nahin deta
girdab-e-bala had se nikalne nahin deta
chahun jo sanbhalna to sanbhalne nahin deta
andaz-e-ana hai ki ye ehsas-e-nadamat
jo zat ke sahra se nikalne nahin deta
nalan hai mere zehn se KHurshid-e-tamanna
jo barf jami hai wo pighalne nahin deta
ghere hai mujhe tark-e-talluq ka wo lamha
mausam ki tarah rang badalne nahin deta
barson jise samjhae the aadab-e-marasim
ab mujh ko wahi shaKHs sanbhalne nahin deta
hai us ko sulagte hue mausam se shikayat
ruKH bhi wo hawaon ka badalne nahin deta
is daur-e-taraqqi ka ye eajaz hai 'sajid'
farsuda riwayat pe chalne nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.