ek agar tujh se rābta rakkhā
jān-e-jāñ phir jahāñ meñ kyā rakkhā
tere māthe ko ham ne chuum liyā
ya.anī manzil pe rāsta rakkhā
terī sāñsoñ se phuuT jaa.e lau
tere hoñToñ pe ik diyā rakkhā
aañkh rakkhī to adh-khulī rakkhī
dil bhī rakkhā to adh-jalā rakkhā
paañv uḌ jaane ke liye betāb
haath ko haath se dabā rakkhā
aañkh sūkhī huī zamīñ jis ne
jhiil ko god meñ uThā rakkhā
ek agar tujh se rabta rakkha
jaan-e-jaan phir jahan mein kya rakkha
tere mathe ko hum ne chum liya
yani manzil pe rasta rakkha
teri sanson se phuT jae lau
tere honTon pe ek diya rakkha
aankh rakkhi to adh-khuli rakkhi
dil bhi rakkha to adh-jala rakkha
panw uD jaane ke liye betab
hath ko hath se daba rakkha
aankh sukhi hui zamin jis ne
jhil ko god mein uTha rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.