fareb-e-dair-o-haram mein aa kar tawaf-e-jam-o-subu na karna
fareb-e-dair-o-haram mein aa kar tawaf-e-jam-o-subu na karna
Faiz Jhanjhanvi
MORE BYFaiz Jhanjhanvi
fareb-e-dair-o-haram meñ aa kar tavāf-e-jām-o-subū na karnā
gunāh hai rind-mashrabī meñ gunāh kī aarzū na karnā
bayāñ se kyā ḳhaak shiddat-e-soz-e-ġham kā andāza ho sakegā
guzārish-e-hāl-e-vāqa.ī hai marīz kā guftugū na karnā
agar tujhe gulsitān-e-hastī meñ hai par-o-bāl kī zarūrat
to shāḳh-e-gul par kabhī murattab nasheman-e-rang-o-bū na karnā
tulūa hotā hai āftāb-e-ḳhudī garebān-e-be-ḳhudī se
tajassus-e-aql gumrahī hai tū bhuul kar justujū na karnā
ho husn kī raa.e meñ shikast-e-ḳhudī ki tauhīn-e-be-niyāzī
aqīda-e-ishq meñ to lekin harām hai aarzū na karnā
yahīñ se ik roz āftāb-e-hayāt-e-nau phir tulūa hogā
agar vo tār-e-nazar bhī baḳhsheñ to chāk-e-dil tū rafū na karnā
tirī nigāh-e-karam ne har anjuman ke aa.iiñ badal diye haiñ
kabhī ḳhamoshī savāb thī ab azaab hai guftugū na karnā
namāz kyā laġhzish-e-qadam bhī hai mustajāb us kī bārgah meñ
agar mayassar huzūr-e-dil ho gunāh bhī be-vuzū na karnā
havā-e-sair-e-chaman mubārak guzārish-e-'faiz' is qadar hai
asīr-e-dām-e-nigāh ho kar tū dil ko be-ābrū na karnā
fareb-e-dair-o-haram mein aa kar tawaf-e-jam-o-subu na karna
gunah hai rind-mashrabi mein gunah ki aarzu na karna
bayan se kya KHak shiddat-e-soz-e-gham ka andaza ho sakega
guzarish-e-haal-e-waqai hai mariz ka guftugu na karna
agar tujhe gulsitan-e-hasti mein hai par-o-baal ki zarurat
to shaKH-e-gul par kabhi murattab nasheman-e-rang-o-bu na karna
tulua hota hai aaftab-e-KHudi gareban-e-be-KHudi se
tajassus-e-aql gumrahi hai tu bhul kar justuju na karna
ho husn ki rae mein shikast-e-KHudi ki tauhin-e-be-niyazi
aqida-e-ishq mein to lekin haram hai aarzu na karna
yahin se ek roz aaftab-e-hayat-e-nau phir tulua hoga
agar wo tar-e-nazar bhi baKHshen to chaak-e-dil tu rafu na karna
teri nigah-e-karam ne har anjuman ke aain badal diye hain
kabhi KHamoshi sawab thi ab azab hai guftugu na karna
namaz kya laghzish-e-qadam bhi hai mustajab us ki bargah mein
agar mayassar huzur-e-dil ho gunah bhi be-wuzu na karna
hawa-e-sair-e-chaman mubarak guzarish-e-'faiz' is qadar hai
asir-e-dam-e-nigah ho kar tu dil ko be-abru na karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.