ghazal ke sab masail hum wali dakni se puchhenge
ġhazal ke sab masā.il ham valī daknī se pūchheñge
haiñ is meñ kitne pech-o-ḳham valī daknī se pūchheñge
ġhazal kī ibtidā kis se hai kab se hai kahāñ se hai
ye bāteñ ham to kam se kam valī daknī se pūchheñge
ġhazal ko jām-o-mīnā zulf se āzād karne meñ
lagā.eñ aur kitnā dam valī daknī se pūchheñge
diloñ ke zaḳhm par ḳhālis ġhazal marham sī kaam aa.e
kahāñ miltā hai ye marham valī daknī se pūchheñge
ġhazal kyoñ ḳhush nahīñ hotī ḳhushī chāhe kisī kī ho
use darkār kyoñ hai ġham valī daknī se pūchheñge
ġhazal kī kāmyābī meñ hai kirdār-e-zamānā kyā
zamāna kyoñ huā barham valī daknī se pūchheñge
jo kahte haiñ ki shā.ir maġhfirat kā haq nahīñ rakhte
unhīñ ke sāmne ham-dam valī daknī se pūchheñge
adab bhī baT gayā maz.hab ke maslak kī tarah 'rāshid'
yahāñ bhī kitne haiñ parcham valī daknī se pūchheñge
ghazal ke sab masail hum wali dakni se puchhenge
hain is mein kitne pech-o-KHam wali dakni se puchhenge
ghazal ki ibtida kis se hai kab se hai kahan se hai
ye baaten hum to kam se kam wali dakni se puchhenge
ghazal ko jam-o-mina zulf se aazad karne mein
lagaen aur kitna dam wali dakni se puchhenge
dilon ke zaKHm par KHalis ghazal marham si kaam aae
kahan milta hai ye marham wali dakni se puchhenge
ghazal kyon KHush nahin hoti KHushi chahe kisi ki ho
use darkar kyon hai gham wali dakni se puchhenge
ghazal ki kaamyabi mein hai kirdar-e-zamana kya
zamana kyon hua barham wali dakni se puchhenge
jo kahte hain ki shair maghfirat ka haq nahin rakhte
unhin ke samne ham-dam wali dakni se puchhenge
adab bhi baT gaya mazhab ke maslak ki tarah 'rashid'
yahan bhi kitne hain parcham wali dakni se puchhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.