ghabraya sa sahma-sahma rahta hun
ghabrāyā sā sahmā-sahmā rahtā huuñ
apne saa.e se bhī Dartā rahtā huuñ
sannāTe meñ chīḳh sī gūñjā kartī hai
ThanDī ThanDī aa.heñ bhartā rahtā huuñ
jhuuT na kahnā mujh se pyaar bhī karte ho
ḳhālī siip sā taT par baiThā rahtā huuñ
jal ga.e jo armān sajā.e sapnoñ ne
raakh ke Dher meñ ab kyā DhūñDhtā rahtā huuñ
uḌte rahte haiñ aaseb nigāhoñ meñ
ḳhauf se 'rāj' maiñ tharthar kāñptā rahtā huuñ
ghabraya sa sahma-sahma rahta hun
apne sae se bhi Darta rahta hun
sannaTe mein chiKH si gunja karti hai
ThanDi ThanDi aahen bharta rahta hun
jhuT na kahna mujh se pyar bhi karte ho
KHali sip sa taT par baiTha rahta hun
jal gae jo arman sajae sapnon ne
rakh ke Dher mein ab kya DhunDhta rahta hun
uDte rahte hain aaseb nigahon mein
KHauf se 'raj' main tharthar kanpta rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.