ghar mein na jao ghair ke mat ye sitam karo
ghar meñ na jaao ġhair ke mat ye sitam karo
aao ġharīb-ḳhāne hī tak Tuk karam karo
shāyad vo chāhne lage mujh ko bhī dosto
Tuk us ke dil pe sūra-e-iḳhlās dam karo
milnā ziyāda ġhairoñ se kuchh ḳhuub to nahīñ
maano kahā tum un se mulāqāt kam karo
juz hāl-e-dil jo ḳhat maiñ likhūñ aur kuchh tumheñ
to haath mere shauq se sāhib qalam karo
maqsūd-e-dil husūl huā mujh ko der meñ
sunte ho zāhido tumhīñ tauf-e-haram karo
'afsos' ko to vā.izo kahte ho bad vale
tab jāneñ raam tum koī aisā sanam karo
ghar mein na jao ghair ke mat ye sitam karo
aao gharib-KHane hi tak Tuk karam karo
shayad wo chahne lage mujh ko bhi dosto
Tuk us ke dil pe sura-e-iKHlas dam karo
milna ziyaada ghairon se kuchh KHub to nahin
mano kaha tum un se mulaqat kam karo
juz haal-e-dil jo KHat main likhun aur kuchh tumhein
to hath mere shauq se sahib qalam karo
maqsud-e-dil husul hua mujh ko der mein
sunte ho zahido tumhin tauf-e-haram karo
'afsos' ko to waizo kahte ho bad wale
tab jaanen ram tum koi aisa sanam karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.