ghaTa ho baad-e-bahaari ho aur jam nahin
ghaTā ho bād-e-bahārī ho aur jaam nahīñ
ġhazab ho saaqī agar mai se koī kaam nahīñ
hamārī baat bhī zāhid se jā ke kah denā
use halāl nahīñ mai hameñ harām nahīñ
kisī ko fikr ho kyoñ mere marne jiine kī
ki merī zaat se barham koī nizām nahīñ
haqīqatan yahī duniyā sarā-e-fānī hai
hai kuuch sabab ki kisī ko yahāñ qiyām nahīñ
bahut savāb mile TuuTe dil ko gar joḌe
kuchh is se baḌh ke zamāne meñ koī kaam nahīñ
chale the diid ko ye kah ke us ko rok diyā
ye ḳhaas logoñ kī baarī hai dīd-e-ām nahīñ
bharosa kījiye hargiz na us kī bātoñ kā
jise na apnī kisī baat par qiyām nahīñ
hamesha ġhībateñ kartā burā-bhalā kahtā
in hāsidoñ ko sivā is ke aur kaam nahīñ
kahīñ jo hatthe chaḌhā dil-jaloñ ke charḳh-e-kuhan
jalā ke ḳhaak na kar deñ to merā naam nahīñ
maiñ vo ġhayūr huuñ 'dīvān' aaj tak jis ne
kisī amiir ko jhuk kar kiyā salām nahīñ
khulī haqīqat-e-'dīvān' ahl-e-naḳhvat par
ra.īs-zāda huuñ maiñ bhī koī ġhulām nahīñ
ghaTa ho baad-e-bahaari ho aur jam nahin
ghazab ho saqi agar mai se koi kaam nahin
hamari baat bhi zahid se ja ke kah dena
use halal nahin mai hamein haram nahin
kisi ko fikr ho kyon mere marne jine ki
ki meri zat se barham koi nizam nahin
haqiqatan yahi duniya sara-e-fani hai
hai kuch sabab ki kisi ko yahan qiyam nahin
bahut sawab mile TuTe dil ko gar joDe
kuchh is se baDh ke zamane mein koi kaam nahin
chale the did ko ye kah ke us ko rok diya
ye KHas logon ki bari hai did-e-am nahin
bharosa kijiye hargiz na us ki baaton ka
jise na apni kisi baat par qiyam nahin
hamesha ghibaten karta bura-bhala kahta
in hasidon ko siwa is ke aur kaam nahin
kahin jo hatthe chaDha dil-jalon ke charKH-e-kuhan
jala ke KHak na kar den to mera nam nahin
main wo ghayur hun 'diwan' aaj tak jis ne
kisi amir ko jhuk kar kiya salam nahin
khuli haqiqat-e-'diwan' ahl-e-naKHwat par
rais-zada hun main bhi koi ghulam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.