gulon ke husn-e-zeba par phaban mahsus hoti hai
guloñ ke husn-e-zebā par phaban mahsūs hotī hai
tirī parchhā.īñ jab sehn-e-chaman mahsūs hotī hai
zamāna ne hamāre biich itnī dūriyāñ rakh diiñ
tumheñ gar sochtā bhī huuñ thakan mahsūs hotī hai
tire baḳhshe hue zaḳhmoñ ko lamhe bhar ga.e lekin
abhī tak dil ke pahlū meñ dukhan mahsūs hotī hai
bichhaḌte vaqt muḌ muḌ dekhnā bojhal qadam rakhnā
usī manzar kī āñkhoñ meñ chubhan mahsūs hotī hai
kisī tūfāñ kī dastak chor darvāze pe hai shāyad
jabīñ par vaqt kī paḌtī shikan mahsūs hotī hai
laḌakpan meñ khulī āñkhoñ se jo tum ne dikhā.e the
unhīñ ḳhvāboñ kī palkoñ meñ jalan mahsūs hotī hai
mire pahlū se to uTh kar ga.e the muddateñ guzrīñ
tumhāre lams kī ab bhī tapan mahsūs hotī hai
mahak terī uḌā kar le ga.e jhoñke taġhāful ke
bahāroñ meñ bhī sāñsoñ meñ ghuTan mahsūs hotī hai
nahīñ ma.alūm 'rāhat' kitne andeshoñ kā hai qaidī
vo jis ko ghar meñ rah kar bhī thakan mahsūs hotī hai
gulon ke husn-e-zeba par phaban mahsus hoti hai
teri parchhain jab sehn-e-chaman mahsus hoti hai
zamana ne hamare bich itni duriyan rakh din
tumhein gar sochta bhi hun thakan mahsus hoti hai
tere baKHshe hue zaKHmon ko lamhe bhar gae lekin
abhi tak dil ke pahlu mein dukhan mahsus hoti hai
bichhaDte waqt muD muD dekhna bojhal qadam rakhna
usi manzar ki aankhon mein chubhan mahsus hoti hai
kisi tufan ki dastak chor darwaze pe hai shayad
jabin par waqt ki paDti shikan mahsus hoti hai
laDakpan mein khuli aankhon se jo tum ne dikhae the
unhin KHwabon ki palkon mein jalan mahsus hoti hai
mere pahlu se to uTh kar gae the muddaten guzrin
tumhaare lams ki ab bhi tapan mahsus hoti hai
mahak teri uDa kar le gae jhonke taghaful ke
bahaaron mein bhi sanson mein ghuTan mahsus hoti hai
nahin malum 'rahat' kitne andeshon ka hai qaidi
wo jis ko ghar mein rah kar bhi thakan mahsus hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.