hae kya manzar the jo aankhon se ojhal ho gae
haa.e kyā manzar the jo āñkhoñ se ojhal ho ga.e
hañste baste shahr bhī vīrān jangal ho ga.e
pāgaloñ ko log to rakhte haiñ zanjīroñ meñ qaid
ham tirī zanjīr se nikle to pāgal ho ga.e
dekh tū ne dard ke rangoñ se ham ko bhar diyā
dekh ham tasvīr-e-ġham ban kar mukammal ho ga.e
is tag-o-dau meñ ki saarī 'umr ho tere liye
dost ham apne liye guzrā huā pal ho ga.e
maiñ khule maidān meñ yak-laḳht aa kar ruk gayā
sāmne the hī nahīñ jo dar muqaffal ho ga.e
shahr saarā us kī āñkhoñ meñ kahīñ gum ho gayā
us ko jitne dekhne vaale the pāgal ho ga.e
ham bahāne DhūñDte the zindagī ke vāste
tere aane se hamāre mas.ale hal ho ga.e
hae kya manzar the jo aankhon se ojhal ho gae
hanste baste shahr bhi viran jangal ho gae
pagalon ko log to rakhte hain zanjiron mein qaid
hum teri zanjir se nikle to pagal ho gae
dekh tu ne dard ke rangon se hum ko bhar diya
dekh hum taswir-e-gham ban kar mukammal ho gae
is tag-o-dau mein ki sari 'umr ho tere liye
dost hum apne liye guzra hua pal ho gae
main khule maidan mein yak-laKHt aa kar ruk gaya
samne the hi nahin jo dar muqaffal ho gae
shahr sara us ki aankhon mein kahin gum ho gaya
us ko jitne dekhne wale the pagal ho gae
hum bahane DhunDte the zindagi ke waste
tere aane se hamare masale hal ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.