hae nairang-e-junun par mera qurban hona
haa.e nairang-e-junūñ par mirā qurbāñ honā
fasl-e-gul dekh ke ghar kā mire vīrāñ honā
chal ga.ī sharm-o-sharārat meñ dam-e-nazzāra
aa.ina dekh ke us shoḳh kā hairāñ honā
ahl-e-dil kā vahī īmāñ hai jise kufr kaheñ
aql-e-kāfir ko huā jabr musalmāñ honā
ġham ke ehsās ko bhūle se samajh baiThe majāz
merī hastī kī haqīqat kā hai uryāñ honā
ham to sajda use kahte haiñ ki sar phir na uThe
aur uTThe bhī to ḳhāk-e-rah-e-jānāñ honā
dāvar-e-hashr ke aage bhī vafā ne rokā
us se dekhā na gayā merā pashemāñ honā
hāl-e-dil pūchhte hī rang taġhayyur kyoñ hai
baat jab kuchh nahīñ phir kis liye hairāñ honā
merī hastī kī haqīqat nahīñ pūchho 'dīvān'
fitna-e-hashr mujassam huā insāñ honā
hae nairang-e-junun par mera qurban hona
fasl-e-gul dekh ke ghar ka mere viran hona
chal gai sharm-o-shararat mein dam-e-nazzara
aaina dekh ke us shoKH ka hairan hona
ahl-e-dil ka wahi iman hai jise kufr kahen
aql-e-kafir ko hua jabr musalman hona
gham ke ehsas ko bhule se samajh baiThe majaz
meri hasti ki haqiqat ka hai uryan hona
hum to sajda use kahte hain ki sar phir na uThe
aur uTThe bhi to KHak-e-rah-e-jaanan hona
dawar-e-hashr ke aage bhi wafa ne roka
us se dekha na gaya mera pasheman hona
haal-e-dil puchhte hi rang taghayyur kyon hai
baat jab kuchh nahin phir kis liye hairan hona
meri hasti ki haqiqat nahin puchho 'diwan'
fitna-e-hashr mujassam hua insan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.