hadis-e-dil-baran hai aur main hun
hadis-e-dil-baran hai aur main hun
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
hadīs-e-dil-barāñ hai aur maiñ huuñ
jahāñ-andar-jahāñ hai aur maiñ huuñ
mudāvā-e-ġham-e-furqat nahīñ kuchh
bas un kī dāstāñ hai aur maiñ huuñ
na hamdam hai na koī ham-navāñ hai
dil apnā rāzdāñ hai aur maiñ huuñ
bharī mahfil meñ bhī baiThā huuñ tanhā
mirā dard-e-nihāñ hai aur maiñ huuñ
nahīñ dard-āshnā jis se kahūñ kuchh
mire muñh meñ zabāñ hai aur maiñ huuñ
bahār aa.ī chaman meñ aa.ī hogī
yahāñ daur-e-ḳhizāñ hai aur maiñ huuñ
nahīñ baaqī vo naġhma aur tarāna
bas ik hū kā samāñ hai aur maiñ huuñ
na vo saaqī na vo ham-mashrab apne
jumūd-e-mai-kashāñ hai aur maiñ huuñ
kabhī is dil kī zad meñ thā zamāna
ab ik utrī kamāñ hai aur maiñ huuñ
nahīñ mohlat ki dam bhar muḌ ke dekhūñ
mirī umr-e-ravāñ hai aur maiñ huuñ
na ḳhud apnā na apne haiñ shab-o-roz
razā-e-dīgarāñ hai aur maiñ huuñ
huā bezār nāqūs-e-azāñ se
fareb-e-īn-o-āñ hai aur maiñ huuñ
kabhī kā jal chukā go āshiyāna
ḳhayāl-e-āshiyāñ hai aur maiñ huuñ
'habīb' ab zindagī kī shaam aa.ī
ġham-e-sūd-o-ziyāñ hai aur maiñ huuñ
hadis-e-dil-baran hai aur main hun
jahan-andar-jahan hai aur main hun
mudawa-e-gham-e-furqat nahin kuchh
bas un ki dastan hai aur main hun
na hamdam hai na koi ham-nawan hai
dil apna raazdan hai aur main hun
bhari mahfil mein bhi baiTha hun tanha
mera dard-e-nihan hai aur main hun
nahin dard-ashna jis se kahun kuchh
mere munh mein zaban hai aur main hun
bahaar aai chaman mein aai hogi
yahan daur-e-KHizan hai aur main hun
nahin baqi wo naghma aur tarana
bas ek hu ka saman hai aur main hun
na wo saqi na wo ham-mashrab apne
jumud-e-mai-kashan hai aur main hun
kabhi is dil ki zad mein tha zamana
ab ek utri kaman hai aur main hun
nahin mohlat ki dam bhar muD ke dekhun
meri umr-e-rawan hai aur main hun
na KHud apna na apne hain shab-o-roz
raza-e-digaran hai aur main hun
hua bezar naqus-e-azan se
fareb-e-in-o-an hai aur main hun
kabhi ka jal chuka go aashiyana
KHayal-e-ashiyan hai aur main hun
'habib' ab zindagi ki sham aai
gham-e-sud-o-ziyan hai aur main hun
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 19)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.