hai ajab shaghl mera raat ke Dhal jaane tak
hai ajab shaġhl mirā raat ke Dhal jaane tak
dekhtā rahtā huuñ taarā koī jal jaane tak
phir sulā degā use bahr kā ik gahrā sukūt
mastī hai mauj meñ sāhil pe machal jaane tak
kyā huā us kī girah meñ hai agar ik duurī
maiñ bhī to us kā huuñ bas us ke badal jaane tak
phir vahī maiñ mirā phir hogā vahī kār-e-jahāñ
baat saarī hai kisī ġham ke bahal jaane tak
vo zarūrat se ziyāda hī farāġhat thī ki maiñ
jis meñ phirtā rahā hasrat ke nikal jaane tak
merā ik uzr vo suntā rahā ḳhāmoshī se
aur maiñ baiThā rahā barf pighal jaane tak
rok rakhnī hai kahīñ ek jagah dard kī raat
kisī bīmār kī hālat ke sambhal jaane tak
rizq miTTī kā mirā ḳhuuñ nahīñ banñe vaalā
sub.h ke chehre pe ġhāza koī mal jaane tak
ain mumkin hai Thahar jaa.e kahīñ aaj kā din
aur ye Thahrā hī rahe yuuñ tire kal jaane tak
ek ātish hai ki dahkā.e hue rakhtī hai
kisī zanjīr ke halqoñ ke pighal jaane tak
maiñ bhī 'shāhīñ' use milne nahīñ jaane vaalā
us ke andar se kisī bal ke nikal jaane tak
hai ajab shaghl mera raat ke Dhal jaane tak
dekhta rahta hun tara koi jal jaane tak
phir sula dega use bahr ka ek gahra sukut
masti hai mauj mein sahil pe machal jaane tak
kya hua us ki girah mein hai agar ek duri
main bhi to us ka hun bas us ke badal jaane tak
phir wahi main mera phir hoga wahi kar-e-jahan
baat sari hai kisi gham ke bahal jaane tak
wo zarurat se ziyaada hi faraghat thi ki main
jis mein phirta raha hasrat ke nikal jaane tak
mera ek uzr wo sunta raha KHamoshi se
aur main baiTha raha barf pighal jaane tak
rok rakhni hai kahin ek jagah dard ki raat
kisi bimar ki haalat ke sambhal jaane tak
rizq miTTi ka mera KHun nahin banne wala
subh ke chehre pe ghaza koi mal jaane tak
ain mumkin hai Thahar jae kahin aaj ka din
aur ye Thahra hi rahe yun tere kal jaane tak
ek aatish hai ki dahkae hue rakhti hai
kisi zanjir ke halqon ke pighal jaane tak
main bhi 'shahin' use milne nahin jaane wala
us ke andar se kisi bal ke nikal jaane tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.