hai pur-raunaq magar viran si mahsus hoti hai
hai pur-raunaq magar vīrān sī mahsūs hotī hai
bharī mahfil meñ bhī terī kamī mahsūs hotī hai
use dekhūñ to duniyā ḳhūb-sūrat lagne lagtī hai
use chhū luuñ to mujh ko zindagī mahsūs hotī hai
mirī āñkhoñ meñ āñkheñ Daal kar ye to batāo tum
tumheñ bhī kyā mohabbat sī kabhī mahsūs hotī hai
tumhārā haath shāmil hī nahīñ merī tabāhī meñ
batāo kyoñ tumheñ sharmindagī mahsūs hotī hai
maiñ apnī justujū meñ jā-ba-jā phirtā huuñ sargardāñ
magar duniyā ko ye āvārgī mahsūs hotī hai
jahāñ 'adnān' merī maañ kā chehra sāmne aa.e
vahāñ manzar meñ kaisī tāzgī mahsūs hotī hai
hai pur-raunaq magar viran si mahsus hoti hai
bhari mahfil mein bhi teri kami mahsus hoti hai
use dekhun to duniya KHub-surat lagne lagti hai
use chhu lun to mujh ko zindagi mahsus hoti hai
meri aankhon mein aankhen Dal kar ye to batao tum
tumhein bhi kya mohabbat si kabhi mahsus hoti hai
tumhaara hath shamil hi nahin meri tabahi mein
batao kyon tumhein sharmindagi mahsus hoti hai
main apni justuju mein ja-ba-ja phirta hun sargardan
magar duniya ko ye aawargi mahsus hoti hai
jahan 'adnan' meri man ka chehra samne aae
wahan manzar mein kaisi tazgi mahsus hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.