hum apni jaan se ai but bahut bezar baiThe hain
hum apni jaan se ai but bahut bezar baiThe hain
Master Basit Biswani
MORE BYMaster Basit Biswani
ham apnī jaan se ai but bahut bezār baiThe haiñ
bharī barsāt meñ aakar pas-e-dīvār baiThe haiñ
kareñ kyā arz-e-matlab ḳhauf se yaañ jaan jaatī hai
liye vo haath meñ kuchh is tarah talvār baiThe haiñ
palaT kar bastiyoñ se yuuñ kahā daaya ne shīrīñ se
sunā kuchh aur ai biTiyā vo tesha maar baiThe haiñ
hue haiñ kār-zār-e-ishq meñ ham be-tarah zaḳhmī
ki shakl-e-teġh dil par abrū-e-ḳhamdār baiThe haiñ
hamārī ḳhush-nasībī se huā kuchh daal meñ kaalā
raqīb-e-rū-siyah ko aaj vo phaTkār baiThe haiñ
sitamgar dekh lenā phaT paḌeñge ġhair ke sar par
nahīñ be-vajah ham yuuñ sūrat-e-dīvār baiThe haiñ
kahā ye āḳhirī hafte ne hañs kar ahl-kāroñ se
zarā dekho mire pīchhe miyāñ itvār baiThe haiñ
sar-e-mahfil jo us but se kabhī arz-e-tamannā kī
kahā chupke se chup rahiye abhī aġhyār baiThe haiñ
uThā kar chauk meñ sar shaiḳh jī ne hañs ke farmāyā
bahut se dushman-e-īmāñ sar-e-bāzār baiThe haiñ
hum apni jaan se ai but bahut bezar baiThe hain
bhari barsat mein aakar pas-e-diwar baiThe hain
karen kya arz-e-matlab KHauf se yan jaan jati hai
liye wo hath mein kuchh is tarah talwar baiThe hain
palaT kar bastiyon se yun kaha daya ne shirin se
suna kuchh aur ai biTiya wo tesha mar baiThe hain
hue hain kar-zar-e-ishq mein hum be-tarah zaKHmi
ki shakl-e-tegh dil par abru-e-KHamdar baiThe hain
hamari KHush-nasibi se hua kuchh dal mein kala
raqib-e-ru-siyah ko aaj wo phaTkar baiThe hain
sitamgar dekh lena phaT paDenge ghair ke sar par
nahin be-wajah hum yun surat-e-diwar baiThe hain
kaha ye aaKHiri hafte ne hans kar ahl-karon se
zara dekho mere pichhe miyan itwar baiThe hain
sar-e-mahfil jo us but se kabhi arz-e-tamanna ki
kaha chupke se chup rahiye abhi aghyar baiThe hain
uTha kar chauk mein sar shaiKH ji ne hans ke farmaya
bahut se dushman-e-iman sar-e-bazar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.