hum bikhar jaenge naghmon-bhare KHwabon ki tarah
ham bikhar jā.eñge naġhmoñ-bhare ḳhvāboñ kī tarah
mutriba! chheḌ kabhī ham ko rabāboñ kī tarah
ek parde meñ haiñ dar-parda bahut se parde
terī yādeñ haiñ pur-asrār hijāboñ kī tarah
zarf kī baat hai kāñToñ kī ḳhalish dil meñ liye
log milte haiñ tar-o-tāza gulāboñ kī tarah
jin ke sīnoñ meñ haiñ mahfūz mohabbat ke ḳhutūt
ham haiñ kuchh aisī dil-āvez kitāboñ kī tarah
dil thā vo TuuTā huā tāj-mahal thā kyā thā
chāñdnī DhūñD rahī hai jise ḳhvāboñ kī tarah
pyaas kī buuñd jo chhalke to samundar ban jaa.e
har nafas ḳhvāb dikhātā hai sarāboñ kī tarah
'prem' shā.er to shahanshāh huā karte haiñ!
tum magar phirte ho kyuuñ ḳhāna-ḳharāboñ kī tarah
hum bikhar jaenge naghmon-bhare KHwabon ki tarah
mutriba! chheD kabhi hum ko rababon ki tarah
ek parde mein hain dar-parda bahut se parde
teri yaaden hain pur-asrar hijabon ki tarah
zarf ki baat hai kanTon ki KHalish dil mein liye
log milte hain tar-o-taza gulabon ki tarah
jin ke sinon mein hain mahfuz mohabbat ke KHutut
hum hain kuchh aisi dil-awez kitabon ki tarah
dil tha wo TuTa hua taj-mahal tha kya tha
chandni DhunD rahi hai jise KHwabon ki tarah
pyas ki bund jo chhalke to samundar ban jae
har nafas KHwab dikhata hai sarabon ki tarah
'prem' shaer to shahanshah hua karte hain!
tum magar phirte ho kyun KHana-KHarabon ki tarah
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 416)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002 (July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.