hum samajhte hain jise apna jahan kuchh aur hai
ham samajhte haiñ jise apnā jahāñ kuchh aur hai
ye zamīñ kuchh aur hai ye āsmāñ kuchh aur hai
jī rahe haiñ ham jise nāchīz hai vo zindagī
ye ġhubār-e-kārvāñ hai kārvāñ kuchh aur hai
kar rahā huuñ maiñ adā kirdār jis meñ ḳhud bhī ek
vo to afsāna hai merī dāstāñ kuchh aur hai
reg-zāroñ par tū jo chāhe banā le naqsh-e-pā
pattharoñ par jo ubhar aa.e nishāñ kuchh aur hai
sā.ebāñ hī dushman-e—azm-e-safar hoñge 'nihāl'
imtihāñ āsāñ na samjho imtihāñ kuchh aur hai
hum samajhte hain jise apna jahan kuchh aur hai
ye zamin kuchh aur hai ye aasman kuchh aur hai
ji rahe hain hum jise nachiz hai wo zindagi
ye ghubar-e-karwan hai karwan kuchh aur hai
kar raha hun main ada kirdar jis mein KHud bhi ek
wo to afsana hai meri dastan kuchh aur hai
reg-zaron par tu jo chahe bana le naqsh-e-pa
pattharon par jo ubhar aae nishan kuchh aur hai
saeban hi dushman-e—azm-e-safar honge 'nihaal'
imtihan aasan na samjho imtihan kuchh aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.