hamara qaul-o-amal aaj moatabar bhi nahin
hamārā qaul-o-amal aaj mo'atabar bhī nahīñ
hamārī baat kā logoñ pe kuchh asar bhī nahīñ
qadam baḌhā to diye haiñ talāsh-e-manzil meñ
koī nishāñ bhī nahīñ koī rāhbar bhī nahīñ
abhī to fikr thī dastār hī ke jaane kī
pata chalā hai ki shānoñ pe apne sar bhī nahīñ
lagā.e kis liye tum ne ye sang ke ambār
hamāre shahr meñ to koī shīshagar bhī nahīñ
ye hukmrānī-o-satvat hamārā virsa haiñ
agarche shaam bhī apnī nahīñ sahar bhī nahīñ
butoñ ke naam pe apnā vajūd gum kar deñ
ham apnī zaat se ab itne be-ḳhabar bhī nahīñ
ye aur baat hai duniyā sharīf jāntī hai
hamāre paas sharāfat to nām-bhar bhī nahīñ
fazā meñ ghol diyā kis ne zahr-e-ḳhāmoshī
koī fuġhāñ bhī nahīñ koī shor-o-shar bhī nahīñ
sukūn-e-qalb mayassar bhī ho to kyūñkar ho
koī ḳhabar bhī nahīñ koī nāma-bar bhī nahīñ
uḌaan bharne kī ḳhvāhish to hai 'nadīm' bahut
vo hausla bhī nahīñ hai vo bāl-o-par bhī nahīñ
hamara qaul-o-amal aaj mo'atabar bhi nahin
hamari baat ka logon pe kuchh asar bhi nahin
qadam baDha to diye hain talash-e-manzil mein
koi nishan bhi nahin koi rahbar bhi nahin
abhi to fikr thi dastar hi ke jaane ki
pata chala hai ki shanon pe apne sar bhi nahin
lagae kis liye tum ne ye sang ke ambar
hamare shahr mein to koi shishagar bhi nahin
ye hukmrani-o-satwat hamara wirsa hain
agarche sham bhi apni nahin sahar bhi nahin
buton ke nam pe apna wajud gum kar den
hum apni zat se ab itne be-KHabar bhi nahin
ye aur baat hai duniya sharif jaanti hai
hamare pas sharafat to nam-bhar bhi nahin
faza mein ghol diya kis ne zahr-e-KHamoshi
koi fughan bhi nahin koi shor-o-shar bhi nahin
sukun-e-qalb mayassar bhi ho to kyunkar ho
koi KHabar bhi nahin koi nama-bar bhi nahin
uDan bharne ki KHwahish to hai 'nadim' bahut
wo hausla bhi nahin hai wo baal-o-par bhi nahin
- Book : سراب دشت امکاں(غزلیات) (Pg. 69)
- Author : ڈاکٹر امتیاز ندیم
- Publication : مکتبہ نعیمہ صدر بازار(مئو ناتھ بھنجن) (2020)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.