hamare dasht ke zarron mein gum hai pahnai
hamāre dasht ke zarroñ meñ gum hai pahnā.ī
inhī meñ dhūñDiye maidān-e-ābla-pā.ī
vakīl-e-kufr thā kal goyā qasr-e-kābul meñ
vahīñ se sūrat-e-annasr kī sadā aa.ī
junūn-e-dajl meñ shahzāda shahr-sāz hai ab
vo bad-nasīb ki thā asl meñ to sahrā.ī
hadaf haiñ ḳhiljī-o-aurangzeb aur āzād
ki un kā jurm thā apne vatan kī yakjā.ī
hazār nukte kiye zehn ne na.e paidā
kisī ke kaam na aa.ī magar ye dānā.ī
maiñ is jahān meñ koī misāl ban na sakā
ma.āshre ne atā kī hai mujh ko tanhā.ī
idhar to asia bhī koh-e-barf hai 'tāriq'
safed sāhatoñ meñ soch bhī hai sarmā.ī
hamare dasht ke zarron mein gum hai pahnai
inhi mein dhunDiye maidan-e-abla-pai
wakil-e-kufr tha kal goya qasr-e-kabul mein
wahin se surat-e-annasr ki sada aai
junun-e-dajl mein shahzada shahr-saz hai ab
wo bad-nasib ki tha asl mein to sahrai
hadaf hain KHilji-o-aurangzeb aur aazad
ki un ka jurm tha apne watan ki yakjai
hazar nukte kiye zehn ne nae paida
kisi ke kaam na aai magar ye danai
main is jahan mein koi misal ban na saka
maashre ne ata ki hai mujh ko tanhai
idhar to asia bhi koh-e-barf hai 'tariq'
safed sahaton mein soch bhi hai sarmai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.