hamare honTon pe ek muddat se jis ka nauha machal raha hai
hamāre hoñToñ pe ek muddat se jis kā nauha machal rahā hai
ye utrā utrā udaas chehra kabhī hamārī ġhazal rahā hai
ajab nazāra-parast dilbar hai tum sunoge to hañs paḌoge
lahū rulātā hai aur kahtā hai surḳh chashma ubal rahā hai
jo apnī lailā se duur bhī hai jise rivāyat kā paas bhī hai
koī to hai jo nisāb-e-hijrāñ ke saare ma.anī badal rahā hai
na aarzū hai na ishq baaqī ujaaḌ dil meñ udaas dil meñ
jab is pe kuchh bhī nahīñ bachā hai to kaahe saalā uchhal rahā hai
nazar haqīqat-shanās jis din milegī us roz jaan loge
hamārī āñkhoñ ke ratjagoñ meñ ye ḳhvāb na.iiñ hai jo pal rahā hai
vo ek lamha jise taqaddus kī zad meñ aa kar maiñ kho chukā huuñ
vo ek lamha mirī havas ko hazār rātoñ se khal rahā hai
hamare honTon pe ek muddat se jis ka nauha machal raha hai
ye utra utra udas chehra kabhi hamari ghazal raha hai
ajab nazara-parast dilbar hai tum sunoge to hans paDoge
lahu rulata hai aur kahta hai surKH chashma ubal raha hai
jo apni laila se dur bhi hai jise riwayat ka pas bhi hai
koi to hai jo nisab-e-hijran ke sare mani badal raha hai
na aarzu hai na ishq baqi ujaD dil mein udas dil mein
jab is pe kuchh bhi nahin bacha hai to kahe sala uchhal raha hai
nazar haqiqat-shanas jis din milegi us roz jaan loge
hamari aankhon ke ratjagon mein ye KHwab nain hai jo pal raha hai
wo ek lamha jise taqaddus ki zad mein aa kar main kho chuka hun
wo ek lamha meri hawas ko hazar raaton se khal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.