Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamein yaqin tha ki hum doston mein rahte hain

Bashir Farooqi

hamein yaqin tha ki hum doston mein rahte hain

Bashir Farooqi

MORE BYBashir Farooqi

    hameñ yaqīñ thā ki ham dostoñ meñ rahte haiñ

    jo ghar jalā to lagā dushmanoñ meñ rahte haiñ

    ham ik kiran haiñ magar bādaloñ meñ rahte haiñ

    bichhaḌ ke tum se baḌī uljhanoñ meñ rahte haiñ

    hamāre jiine ab ye misāl hai jaise

    kaTe piTe hue jumle ḳhatoñ meñ rahte haiñ

    inhī choT bhī lagtī hai sar-bulandoñ ko

    jo pattharoñ tarah Thokaroñ meñ rahte haiñ

    jo chehre chāñd se lagte haiñ mahfiloñ meñ hameñ

    vo sham’-e-kushta sūrat gharoñ meñ rahte haiñ

    kuchh aise phuul haiñ jin ko milā nahīñ māhaul

    mahak rahe haiñ magar jangaloñ meñ rahte haiñ

    vatan ḳhair manāo ki dushmanān-e-vatan

    sahar se shaam talak sāzishoñ meñ rahte haiñ

    hamāre shahr meñ insān ab nahīñ rahte

    ham apne shahr parchhā.iyoñ meñ rahte haiñ

    unhīñ ko mere ġhamoñ ḳhabar nahīñ hai 'bashīr'

    jo ruuh ban ke mirī dhaḌkanoñ meñ rahte haiñ

    hamein yaqin tha ki hum doston mein rahte hain

    jo ghar jala to laga dushmanon mein rahte hain

    hum ek kiran hain magar baadalon mein rahte hain

    bichhaD ke tum se baDi uljhanon mein rahte hain

    hamare jine ki ab ye misal hai jaise

    kaTe piTe hue jumle KHaton mein rahte hain

    inhi si choT bhi lagti hai sar-bulandon ko

    jo pattharon ki tarah Thokaron mein rahte hain

    jo chehre chand se lagte hain mahfilon mein hamein

    wo sham’-e-kushta ki surat gharon mein rahte hain

    kuchh aise phul hain jin ko mila nahin mahaul

    mahak rahe hain magar jangalon mein rahte hain

    watan ki KHair manao ki dushmanan-e-watan

    sahar se sham talak sazishon mein rahte hain

    hamare shahr mein insan ab nahin rahte

    hum apne shahr ki parchhaiyon mein rahte hain

    unhin ko mere ghamon ki KHabar nahin hai 'bashir'

    jo ruh ban ke meri dhaDkanon mein rahte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now