haqiqat jab bayan hogi to paida talKHiyan hongi
haqīqat jab bayāñ hogī to paidā talḳhiyāñ hoñgī
ta.ajjub kyā natīje meñ agar ḳhūñ-reziyāñ hoñgī
agar fir.aun paidā ho to muusā ko bhī aanā hai
ujāle kā janam hogā agar tārīkiyāñ hoñgī
zamāna us ke kirdār-o-amal se munharif hogā
kisī ke ḳhuun meñ shāmil agar changeziyāñ hoñgī
hamārā vaqt aa.egā magar amn-o-amāñ le kar
tumhārā daur hai ma.alūm hai ḳhūñ-reziyāñ hoñgī
ham itnā jānte haiñ ham baġhāvat karne vaale haiñ
na jaane kis qadar ham par sitam-angeziyāñ hoñgī
tashaddud sahne vaale hī baġhāvat karte aa.e haiñ
na samjho raakh in ko raakh meñ chingāriyāñ hoñgī
bahā le jā.eñgī maujeñ sabhī kachche makānoñ ko
nishāñ tak bhī na hogā vo talātum-ḳheziyāñ hoñgī
maiñ malbe meñ bhī pahchānūñgā apnoñ kī dabī lāsheñ
kahīñ to jism se lipTī huī kuchh dhajjiyāñ hoñgī
hamārā hausla kitnā hai ye sāhil batā degā
vahāñ jaltī huī saarī kī saarī kashtiyāñ hoñgī
ham aise pasta-qad kī samt 'ahsan' kaun dekhegā
jahāñ par shahr kī ūñchī se ūñchī hastiyāñ hoñgī
haqiqat jab bayan hogi to paida talKHiyan hongi
tajjub kya natije mein agar KHun-reziyan hongi
agar firaun paida ho to musa ko bhi aana hai
ujale ka janam hoga agar tarikiyan hongi
zamana us ke kirdar-o-amal se munharif hoga
kisi ke KHun mein shamil agar changeziyan hongi
hamara waqt aaega magar amn-o-aman le kar
tumhaara daur hai malum hai KHun-reziyan hongi
hum itna jaante hain hum baghawat karne wale hain
na jaane kis qadar hum par sitam-angeziyan hongi
tashaddud sahne wale hi baghawat karte aae hain
na samjho rakh in ko rakh mein chingariyan hongi
baha le jaengi maujen sabhi kachche makanon ko
nishan tak bhi na hoga wo talatum-KHeziyan hongi
main malbe mein bhi pahchanunga apnon ki dabi lashen
kahin to jism se lipTi hui kuchh dhajjiyan hongi
hamara hausla kitna hai ye sahil bata dega
wahan jalti hui sari ki sari kashtiyan hongi
hum aise pasta-qad ki samt 'ahsan' kaun dekhega
jahan par shahr ki unchi se unchi hastiyan hongi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.