haqiqaton se kabhi inhiraf mat kije
haqīqatoñ se kabhī inhirāf mat kiije
qusūr jis kā ho us ko muaaf mat kiije
kisī buzurg ke chehre pe kuchh nahīñ likkhā
adab to kījiye us kā tavāf mat kiije
ḳhatā ho aap kī to kījiye ise taslīm
ḳhatā na ho to kabhī e'tirāf mat kiije
muāhida ho ta.alluq ho inkisārī ho
kabhī mizāj ke apne ḳhilāf mat kiije
vo ghar kā raaz ho yā dostoñ kī bāteñ hoñ
kisī pe un kā kabhī inkishāf mat kiije
ġhazal ishāroñ kināyoñ kā naam hai 'gauhar'
ġhazal meñ baat koī saaf saaf mat kiije
haqiqaton se kabhi inhiraf mat kije
qusur jis ka ho us ko muaf mat kije
kisi buzurg ke chehre pe kuchh nahin likkha
adab to kijiye us ka tawaf mat kije
KHata ho aap ki to kijiye ise taslim
KHata na ho to kabhi e'tiraf mat kije
muahida ho talluq ho inkisari ho
kabhi mizaj ke apne KHilaf mat kije
wo ghar ka raaz ho ya doston ki baaten hon
kisi pe un ka kabhi inkishaf mat kije
ghazal ishaaron kinayon ka nam hai 'gauhar'
ghazal mein baat koi saf saf mat kije
- Book : Idraaq (Pg. 74)
- Author : Gohar Usmani
- Publication : Gohar Usmani (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.