har ek dil mein Khaar-e-alam dekhte hain
Interesting Fact
(February 9, 1962) (Ghalib's Birth date) (Organized by Taraqqi-e-anjuman-e-Urdu, Delhi)
har ik dil meñ ḳhār-e-alam dekhte haiñ
ḳhushī jis ko kahte haiñ kam dekhte haiñ
jo dil hī meñ husn-e-sanam dekhte haiñ
kahīñ jānib-e-jām-e-jam dekhte haiñ
kise kis qadar pā.edārī hai hāsil
tirā qaul apnī qasam dekhte haiñ
yaqīn-o-amal saath rahte haiñ jin ke
vo manzil ko zer-e-qadam dekhte haiñ
bhar aatā hai dil ḳhuun rotī haiñ āñkheñ
kisī ko jo ham chashm-nam dekhte haiñ
jahāñ dard-mandoñ se ḳhālī nahīñ hai
ye har ashk meñ mauj-e-yam dekhte haiñ
ye husn-o-mohabbat kā rishta ajab hai
ham in ko hamesha baham dekhte haiñ
ye maanā sakat dekhne kī nahīñ hai
tujhe phir bhī terī qasam dekhte haiñ
tirī parda-dārī hai malhūz-e-ḳhātir
tujhe dil kī āñkhoñ se ham dekhte haiñ
rubāb-e-nafas par hamesha nazar hai
ham is saaz kā zer-o-bam dekhte haiñ
salīqa adab kā sikhātī hai piirī
jo jhukte na the un ko ḳham dekhte haiñ
jo ā.īna aatā hai un ke muqābil
vo ā.īna hairat se ham dekhte haiñ
idhar jazb-e-ulfat udhar kam nigāhī
ajab ālam-e-shauq-o-ram dekhte haiñ
vahīñ Dālte haiñ haram kī binā ham
jahāñ terā naqsh-e-qadam dekhte haiñ
kisī ke koī be-sabab kaam aa.e
ye dastūr duniyā meñ kam dekhte haiñ
ye hastī bhī ik ruḳh usī kā hai 'tālib'
ye kyuuñ aap sū-e-adam dekhte haiñ
har ek dil mein KHar-e-alam dekhte hain
KHushi jis ko kahte hain kam dekhte hain
jo dil hi mein husn-e-sanam dekhte hain
kahin jaanib-e-jam-e-jam dekhte hain
kise kis qadar paedari hai hasil
tera qaul apni qasam dekhte hain
yaqin-o-amal sath rahte hain jin ke
wo manzil ko zer-e-qadam dekhte hain
bhar aata hai dil KHun roti hain aankhen
kisi ko jo hum chashm-nam dekhte hain
jahan dard-mandon se KHali nahin hai
ye har ashk mein mauj-e-yam dekhte hain
ye husn-o-mohabbat ka rishta ajab hai
hum in ko hamesha baham dekhte hain
ye mana sakat dekhne ki nahin hai
tujhe phir bhi teri qasam dekhte hain
teri parda-dari hai malhuz-e-KHatir
tujhe dil ki aankhon se hum dekhte hain
rubab-e-nafas par hamesha nazar hai
hum is saz ka zer-o-bam dekhte hain
saliqa adab ka sikhati hai piri
jo jhukte na the un ko KHam dekhte hain
jo aaina aata hai un ke muqabil
wo aaina hairat se hum dekhte hain
idhar jazb-e-ulfat udhar kam nigahi
ajab aalam-e-shauq-o-ram dekhte hain
wahin Dalte hain haram ki bina hum
jahan tera naqsh-e-qadam dekhte hain
kisi ke koi be-sabab kaam aae
ye dastur duniya mein kam dekhte hain
ye hasti bhi ek ruKH usi ka hai 'talib'
ye kyun aap su-e-adam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.