har kisi ko hai KHayal-e-ashiyan kuchh in dinon
har kisī ko hai ḳhayāl-e-āshiyāñ kuchh in dinoñ
kaash hotī sab ko fikr-e-gulsitāñ kuchh in dinoñ
kyoñ na ho barham mizāj-e-pāsbāñ kuchh in dinoñ
badlī badlī hai havā-e-gulsitāñ kuchh in dinoñ
is navāzish ke pas-e-parda koī sāzish na ho
ho rahe haiñ vo jo ham pe mehrbāñ kuchh in dinoñ
is ḳhamoshī aur goyā.ī kā aalam kyā kahūñ
har nazar hai ik mukammal dāstāñ kuchh in dinoñ
ḳhair ho dāmān-e-hastī kī ilāhī ḳhair ho
hai junūñ-parvar bahār-e-gulsitāñ kuchh in dinoñ
be-ḳhudī meñ bhī huuñ maiñ rāz-e-ḳhudī se āshnā
ain-bedārī hai ye ḳhvāb-e-girāñ kuchh in dinoñ
de rahī haiñ har nafas ko dāvat-e-fikr-o-nazar
ye mizāj-e-dahr kī tabdīliyāñ kuchh in dinoñ
dekhnā ik din ulaT dūñgā bisāt-e-yās-o-ġham
kah rahā hai yeh dil-e-garm-o-javāñ kuchh in dinoñ
hoshiyār ai rahravān-e-rāh-e-hastī hoshiyār
rāhzan bante haiñ mīr-e-kārvāñ kuchh in dinoñ
dekhnā ye hai ki dil iksīr ho jaatā hai kab
har nafas to hai mirā ātash-bajāñ kuchh in dinoñ
ahl-e-dil ahl-e-nazar ahl-e-vafā kī ḳhair ho
mahv-e-ārā.ish hai phir husn-e-butāñ kuchh in dinoñ
le uḌūñgā dekhnā dām-o-qafas ko ek din
aa rahe haiñ yaad ahl-e-gulsitāñ kuchh in dinoñ
ye mirī sahrā-navardī rang lā.egī zarūr
kah rahī hai dekh kāñToñ kī zabāñ kuchh in dinoñ
ab na vo shauq-e-ubūdiyyat na zauq-e-bandagī
har jabīñ hai be-niyāz-e-āstāñ kuchh in dinoñ
baat kyā hai khoyā khoyā sā nazar aatā hai kyoñ
'faizī'-e-rangīñ-navā jādū-bayāñ kuchh in dinoñ
har kisi ko hai KHayal-e-ashiyan kuchh in dinon
kash hoti sab ko fikr-e-gulsitan kuchh in dinon
kyon na ho barham mizaj-e-pasban kuchh in dinon
badli badli hai hawa-e-gulsitan kuchh in dinon
is nawazish ke pas-e-parda koi sazish na ho
ho rahe hain wo jo hum pe mehrban kuchh in dinon
is KHamoshi aur goyai ka aalam kya kahun
har nazar hai ek mukammal dastan kuchh in dinon
KHair ho daman-e-hasti ki ilahi KHair ho
hai junun-parwar bahaar-e-gulsitan kuchh in dinon
be-KHudi mein bhi hun main raaz-e-KHudi se aashna
ain-bedari hai ye KHwab-e-giran kuchh in dinon
de rahi hain har nafas ko dawat-e-fikr-o-nazar
ye mizaj-e-dahr ki tabdiliyan kuchh in dinon
dekhna ek din ulaT dunga bisat-e-yas-o-gham
kah raha hai yeh dil-e-garm-o-jawan kuchh in dinon
hoshiyar ai rahrawan-e-rah-e-hasti hoshiyar
rahzan bante hain mir-e-karwan kuchh in dinon
dekhna ye hai ki dil iksir ho jata hai kab
har nafas to hai mera aatash-bajaan kuchh in dinon
ahl-e-dil ahl-e-nazar ahl-e-wafa ki KHair ho
mahw-e-araish hai phir husn-e-butan kuchh in dinon
le uDunga dekhna dam-o-qafas ko ek din
aa rahe hain yaad ahl-e-gulsitan kuchh in dinon
ye meri sahra-nawardi rang laegi zarur
kah rahi hai dekh kanTon ki zaban kuchh in dinon
ab na wo shauq-e-ubudiyyat na zauq-e-bandagi
har jabin hai be-niyaz-e-astan kuchh in dinon
baat kya hai khoya khoya sa nazar aata hai kyon
'faizi'-e-rangin-nawa jadu-bayan kuchh in dinon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.