har-nafas taza sitam hote hain
har-nafas taaza sitam hote haiñ
jab tire shahr meñ ham hote haiñ
phuul khilte haiñ jo us ke lab par
rashk-e-gulzār-e-iram hote haiñ
dil meñ bas jaa.eñ jo armāñ kī tarah
aise ash.ār to kam hote haiñ
ham ki haiñ shāh-e-dayār-e-ḳhūbāñ
hadaf-e-tesha-e-ġham hote haiñ
Thes lag jaa.e na ḳhuddārī ko
lo vo mā.il-ba-karam hote haiñ
ġham-e-mahbūb se baḌh kar nahīñ ġham
yuuñ to har tarah ke ġham hote haiñ
jin ko dekhe se koī yaad aa.e
aise ahbāb bhī kam hote haiñ
zehn-e-shā.ir meñ hamesha 'iqbāl'
nā-tarāshīda sanam hote haiñ
har-nafas taza sitam hote hain
jab tere shahr mein hum hote hain
phul khilte hain jo us ke lab par
rashk-e-gulzar-e-iram hote hain
dil mein bas jaen jo arman ki tarah
aise ashaar to kam hote hain
hum ki hain shah-e-dayar-e-KHuban
hadaf-e-tesha-e-gham hote hain
Thes lag jae na KHuddari ko
lo wo mail-ba-karam hote hain
gham-e-mahbub se baDh kar nahin gham
yun to har tarah ke gham hote hain
jin ko dekhe se koi yaad aae
aise ahbab bhi kam hote hain
zehn-e-shair mein hamesha 'iqbaal'
na-tarashida sanam hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.