har qadam par mere ek KHanjar-e-uryan nikla
har qadam par mere ek KHanjar-e-uryan nikla
Prem Narayan Saxena Raz
MORE BYPrem Narayan Saxena Raz
har qadam par mire ik ḳhanjar-e-uryāñ niklā
phir bhī maiñ kūcha-e-qātil se ġhazal-ḳhvāñ niklā
kar ga.ī mujh pe vo e.ajāz tirī ek nazar
jo bhī niklā mire nazdīk se hairāñ niklā
merī fitrat meñ thī pinhāñ vo bahār-e-dā.im
maiñ bahar-rang ba-shakl-e-gul-e-ḳhandāñ niklā
vo badaltā rahā har baat ke itne pahlū
mudda.ā koī bhī hargiz na numāyāñ niklā
aah is taur gulistāñ meñ luTī fasl-e-bahār
chashm-e-giryāñ se mirī ḳhūn-e-bahārāñ niklā
jaane kis ġham ne vo tahrīk-e-masarrat baḳhshī
dil-e-ġham-gīñ se mire naġhma-e-shādāñ niklā
haram-o-dair kī har qaid se mutlaq āzād
mujh sā kāfir hī koī sāhab-e-īmāñ niklā
aap par ho chukā sau jaan se qurbāñ lekin
aap par miTne kā is dil se na armāñ niklā
hausla ho to mirā aur ta.āqub kar le
tujh se maiñ tez qadam gardish-e-daurāñ niklā
ek hī jhoñke ne gul kar diye sab ghar ke charāġh
is qadar tund idhar se koī tūfāñ niklā
suḳhan-e-'rāz' kī dī daad kisī ne āḳhir
shukr hai bazm meñ koī to suḳhan-dāñ niklā
har qadam par mere ek KHanjar-e-uryan nikla
phir bhi main kucha-e-qatil se ghazal-KHwan nikla
kar gai mujh pe wo eajaz teri ek nazar
jo bhi nikla mere nazdik se hairan nikla
meri fitrat mein thi pinhan wo bahaar-e-daim
main bahar-rang ba-shakl-e-gul-e-KHandan nikla
wo badalta raha har baat ke itne pahlu
muddaa koi bhi hargiz na numayan nikla
aah is taur gulistan mein luTi fasl-e-bahaar
chashm-e-giryan se meri KHun-e-bahaaran nikla
jaane kis gham ne wo tahrik-e-masarrat baKHshi
dil-e-gham-gin se mere naghma-e-shadan nikla
haram-o-dair ki har qaid se mutlaq aazad
mujh sa kafir hi koi sahab-e-iman nikla
aap par ho chuka sau jaan se qurban lekin
aap par miTne ka is dil se na arman nikla
hausla ho to mera aur taaqub kar le
tujh se main tez qadam gardish-e-dauran nikla
ek hi jhonke ne gul kar diye sab ghar ke charagh
is qadar tund idhar se koi tufan nikla
suKHan-e-'raaz' ki di dad kisi ne aaKHir
shukr hai bazm mein koi to suKHan-dan nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.