har taraf rangin faza hai chand bhi pur-nur hai
har taraf rangin faza hai chand bhi pur-nur hai
Manzoor-ul-Haq Nazir
MORE BYManzoor-ul-Haq Nazir
har taraf rangīñ fazā hai chāñd bhī pur-nūr hai
terī aamad kī ḳhabar se dil bahut masrūr hai
tere maiḳhāne kā saaqī ye 'ajab dastūr hai
koī tishna-lab hai mahfil meñ koī maḳhmūr hai
'aib kyā pinhāñ haiñ is meñ ye kisī ko kyā ḳhabar
apne apne husn par har aadmī maġhrūr hai
kitnā sachchā hai ye ahl-e-dānish-o-bīnish kā qaul
aadmī āzād ho kar bhī baḌā majbūr hai
'aam insāñ us se vāqif hī nahīñ to is se kyā
halqa-e-she'r-o-adab meñ vo bahut mash.hūr hai
dil ko kar lo pahle iḳhlās-o-muravvat-āshnā
phir tumhārā faisla har shaḳhs ko manzūr hai
har ghaḌī rahtā hai 'nāzir' tere dar ke ās-pās
kaun kahtā hai mirā ghar tere ghar se duur hai
har taraf rangin faza hai chand bhi pur-nur hai
teri aamad ki KHabar se dil bahut masrur hai
tere maiKHane ka saqi ye 'ajab dastur hai
koi tishna-lab hai mahfil mein koi maKHmur hai
'aib kya pinhan hain is mein ye kisi ko kya KHabar
apne apne husn par har aadmi maghrur hai
kitna sachcha hai ye ahl-e-danish-o-binish ka qaul
aadmi aazad ho kar bhi baDa majbur hai
'am insan us se waqif hi nahin to is se kya
halqa-e-she'r-o-adab mein wo bahut mashhur hai
dil ko kar lo pahle iKHlas-o-murawwat-ashna
phir tumhaara faisla har shaKHs ko manzur hai
har ghaDi rahta hai 'nazir' tere dar ke aas-pas
kaun kahta hai mera ghar tere ghar se dur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.