hasin hai to rahe subh teri par nahin kar
hasīn hai to rahe sub.h terī par nahīñ kar
maiñ shab-parast huuñ mujh par abhī sahar nahīñ kar
jo raah maiñ ne chunī hai kahīñ nahīñ jaatī
umīd-e-nāz mujhe apnā ham-safar nahīñ kar
tamāsh-bīñ mire hone ke munharif ho jaa.eñ
ab is qadar bhī kahānī ko muḳhtasar nahīñ kar
tū chāñdnī ke tarannum se khilne vaalā badan
maiñ be-charāġh Thikānā huuñ mujh ko ghar nahīñ kar
abhī gumān ka.ī marhaloñ se guzregā
ai badduā-e-tazabzub-dilāñ asar nahīñ kar
ye baḌhte saa.e shikārī haiñ mere sūraj ke
ḳhudāyā shaam ab itnī bhī mo'atabar nahīñ kar
darīche haiñ koī āñkheñ ḳhudā.ī duniyā kī
inhīñ se ho ke guzar aur koī dar nahīñ kar
hasin hai to rahe subh teri par nahin kar
main shab-parast hun mujh par abhi sahar nahin kar
jo rah main ne chuni hai kahin nahin jati
umid-e-naz mujhe apna ham-safar nahin kar
tamash-bin mere hone ke munharif ho jaen
ab is qadar bhi kahani ko muKHtasar nahin kar
tu chandni ke tarannum se khilne wala badan
main be-charagh Thikana hun mujh ko ghar nahin kar
abhi guman kai marhalon se guzrega
ai baddua-e-tazabzub-dilan asar nahin kar
ye baDhte sae shikari hain mere suraj ke
KHudaya sham ab itni bhi mo'atabar nahin kar
dariche hain koi aankhen KHudai duniya ki
inhin se ho ke guzar aur koi dar nahin kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.