hawa-e-sham chale to bikharne lagti hun
havā-e-shām chale to bikharne lagtī huuñ
maiñ dasht-e-dil se simaT kar guzarne lagtī huuñ
azal se tā-ba-abad ek lamha merā hai
tirī nigāh meñ jis dam Thaharne lagtī huuñ
nazar ke lams se rañg-e-badan chhupātī rahī
maiñ titliyoñ kī tarah kyoñ ki marne lagtī huuñ
milī firāq ke ā.īne meñ panāh mujhe
visāl-e-harf meñ Dhal kar sañvarne lagtī huuñ
varaq pe saada tamanna ke ḳhāl-o-ḳhad haiñ magar
maiñ soch kar tujhe kuchh rañg bharne lagtī huuñ
jab āgahī ke ḳhadd-o-ḳhāl dekhtī huuñ kabhī
to apne husn-e-tahayyur se Darne lagtī huuñ
agar tū va.ada nibhātā nahīñ to us lamhe
maiñ apne aap se bhī ḳhud mukarne lagtī huuñ
hawa-e-sham chale to bikharne lagti hun
main dasht-e-dil se simaT kar guzarne lagti hun
azal se ta-ba-abad ek lamha mera hai
teri nigah mein jis dam Thaharne lagti hun
nazar ke lams se rang-e-badan chhupati rahi
main titliyon ki tarah kyon ki marne lagti hun
mili firaq ke aaine mein panah mujhe
visal-e-harf mein Dhal kar sanwarne lagti hun
waraq pe sada tamanna ke KHal-o-KHad hain magar
main soch kar tujhe kuchh rang bharne lagti hun
jab aagahi ke KHadd-o-KHal dekhti hun kabhi
to apne husn-e-tahayyur se Darne lagti hun
agar tu wada nibhata nahin to us lamhe
main apne aap se bhi KHud mukarne lagti hun
- Book : ردائے ہجر (Pg. 106)
- Author : تسنیم عابدی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.