hijr ke sab gham sahenge ajnabi
hijr ke sab ġham saheñge ajnabī
ham bichhaḌ kar phir mileñge ajnabī
ham kareñge yaañ mohabbat be-shumār
shart ye par ham raheñge ajnabī
āshnā hoñ laakh lekin phir bhī ham
ek duuje ko kaheñge ajnabī
'ahd lete haiñ magar is baat par
zāhirī ham ḳhush raheñge ajnabī
phir uThā.eñge na sajde se ye sar
is janam meñ gar mileñge ajnabī
rāste jab apnī manzil hai judā
chal ki vāpas ghar chaleñge ajnabī
samjhe haiñ jo zindagī ko bā-vafā
ik na ik din sab mareñge ajnabī
mat 'mubārak' se rakho ye dostī
chaar bāteñ sab kareñge ajnabī
hijr ke sab gham sahenge ajnabi
hum bichhaD kar phir milenge ajnabi
hum karenge yan mohabbat be-shumar
shart ye par hum rahenge ajnabi
aashna hon lakh lekin phir bhi hum
ek duje ko kahenge ajnabi
'ahd lete hain magar is baat par
zahiri hum KHush rahenge ajnabi
phir uThaenge na sajde se ye sar
is janam mein gar milenge ajnabi
raste jab apni manzil hai juda
chal ki wapas ghar chalenge ajnabi
samjhe hain jo zindagi ko ba-wafa
ek na ek din sab marenge ajnabi
mat 'mubarak' se rakho ye dosti
chaar baaten sab karenge ajnabi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.