hoti hai hasinon se jo jafa ushshaq gawara karte hain
hotī hai hasīnoñ se jo jafā 'ushshāq gavārā karte haiñ
ye shauq se qurbāñ hote haiñ vo naaz se maarā karte haiñ
hāthoñ meñ nahīñ shamshīr magar ye qatl-e-‘ālam kaisā hai
jaatī haiñ hazāroñ kī jāneñ vo ḳhud ko sañvārā karte haiñ
sīkhā hai gulistāñ meñ ham ne kāñToñ se sabaq ḳhuddārī kā
phūloñ kī tarah shabnam ke liye dāman na pasārā karte haiñ
dārā.ī mubārak ho tum ko ham mast haiñ apnī gudḌī meñ
qatre pe qanā'at karte haiñ dariyā se kinārā karte haiñ
jab un se ye pūchhā jaatā hai vahshat hai kise is mahfil meñ
vo ek adā se merī taraf āñkhoñ se ishārā karte haiñ
is meñ bhī ḳhudā kī hikmat hai duniyā meñ nahīñ jo ham-rangī
kuchh log ba-sehhat jiite haiñ kuchh dukh meñ guzārā karte haiñ
daulat thī lagāv rakhte the hai tark-e-ta'alluq ġhurbat meñ
jab dil meñ biThāte the vo hameñ ab dil se utārā karte haiñ
ik daur vo thā sab mil-jul kar dukh-dard baTāyā karte the
ik daur ye hai ham aapas meñ parḳhāsh gavārā karte haiñ
din-rāt taḌaptā rahtā huuñ hai merī ḳhabar un ko 'bartar'
karne ko vo parda karte haiñ chhup-chhup ke nazārā karte haiñ
hoti hai hasinon se jo jafa 'ushshaq gawara karte hain
ye shauq se qurban hote hain wo naz se mara karte hain
hathon mein nahin shamshir magar ye qatl-e-‘alam kaisa hai
jati hain hazaron ki jaanen wo KHud ko sanwara karte hain
sikha hai gulistan mein hum ne kanTon se sabaq KHuddari ka
phulon ki tarah shabnam ke liye daman na pasara karte hain
darai mubarak ho tum ko hum mast hain apni gudDi mein
qatre pe qana'at karte hain dariya se kinara karte hain
jab un se ye puchha jata hai wahshat hai kise is mahfil mein
wo ek ada se meri taraf aankhon se ishaara karte hain
is mein bhi KHuda ki hikmat hai duniya mein nahin jo ham-rangi
kuchh log ba-sehhat jite hain kuchh dukh mein guzara karte hain
daulat thi lagaw rakhte the hai tark-e-ta'alluq ghurbat mein
jab dil mein biThate the wo hamein ab dil se utara karte hain
ek daur wo tha sab mil-jul kar dukh-dard baTaya karte the
ek daur ye hai hum aapas mein parKHash gawara karte hain
din-raat taDapta rahta hun hai meri KHabar un ko 'bartar'
karne ko wo parda karte hain chhup-chhup ke nazara karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.