hue aur bekal dawa ke asar se
hue aur bekal davā ke asar se
kareñ ḳhaak ummīd ham chāra-gar se
kahīñ abr-e-rahmat lagātār barse
ġhazab hai kahīñ buuñd ko koī tarse
jabīñ jo na jhuktī thī dair-o-haram par
vo uThtī nahīñ ab tire sang-e-dar se
ka.ī baar lab tak tirā naam aayā
magar sī liye hoñT duniyā ke Dar se
tirī yaad phir aaj taḌpā rahī hai
Tapakne lage ashk phir chashm-e-tar se
zamāne kī kuchh ham ko parvā nahīñ hai
magar gir na jaa.eñ tumhārī nazar se
ilāhī ye kaisī havā chal paḌī hai
bashar ḳhauf khāne lagā hai bashar se
'bahār' aaj koī nayā gul khilegā
tabī'at bahut muztarib hai sahar se
hue aur bekal dawa ke asar se
karen KHak ummid hum chaara-gar se
kahin abr-e-rahmat lagatar barse
ghazab hai kahin bund ko koi tarse
jabin jo na jhukti thi dair-o-haram par
wo uThti nahin ab tere sang-e-dar se
kai bar lab tak tera nam aaya
magar si liye honT duniya ke Dar se
teri yaad phir aaj taDpa rahi hai
Tapakne lage ashk phir chashm-e-tar se
zamane ki kuchh hum ko parwa nahin hai
magar gir na jaen tumhaari nazar se
ilahi ye kaisi hawa chal paDi hai
bashar KHauf khane laga hai bashar se
'bahaar' aaj koi naya gul khilega
tabi'at bahut muztarib hai sahar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.