hunar jo talib-e-zar ho hunar nahin rahta
hunar jo tālib-e-zar ho hunar nahīñ rahtā
mahal-sarā meñ koī kūza-gar nahīñ rahtā
bichhaḌte vaqt kisī se hameñ bhī thā ye gumāñ
ki zaḳhm kaisā bhī ho umr-bhar nahīñ rahtā
maiñ apne haq ke sivā māñgtā agar kuchh aur
to mere harf-e-duā meñ asar nahīñ rahtā
kuchh aur bhī guzar-auqāt ke vasīle haiñ
gadā ḳhazīna-e-kashkol par nahīñ rahtā
vo kaun hai jo musāfir ke saath chaltā hai
ḳhayāl-e-yār bhī jab ham-safar nahīñ rahtā
jise banāte sajāte haiñ jis meñ rahte haiñ
savere aañkh khule to vo ghar nahīñ rahtā
khulī fazā na rahe yaad agar parindoñ ko
ġham-e-shikastagī-e-bāl-o-par nahīñ rahtā
ham ek shab meñ ka.ī ḳhvāb dekhte haiñ so ab
vo aa ke ḳhvāb meñ bhī rāt-bhar nahīñ rahtā
'kamāl' log bhī kyā haiñ gumāñ ye rakhte haiñ
jo bas gayā ho kahīñ dar-ba-dar nahīñ rahtā
hunar jo talib-e-zar ho hunar nahin rahta
mahal-sara mein koi kuza-gar nahin rahta
bichhaDte waqt kisi se hamein bhi tha ye guman
ki zaKHm kaisa bhi ho umr-bhar nahin rahta
main apne haq ke siwa mangta agar kuchh aur
to mere harf-e-dua mein asar nahin rahta
kuchh aur bhi guzar-auqat ke wasile hain
gada KHazina-e-kashkol par nahin rahta
wo kaun hai jo musafir ke sath chalta hai
KHayal-e-yar bhi jab ham-safar nahin rahta
jise banate sajate hain jis mein rahte hain
sawere aankh khule to wo ghar nahin rahta
khuli faza na rahe yaad agar parindon ko
gham-e-shikastagi-e-baal-o-par nahin rahta
hum ek shab mein kai KHwab dekhte hain so ab
wo aa ke KHwab mein bhi raat-bhar nahin rahta
'kamal' log bhi kya hain guman ye rakhte hain
jo bas gaya ho kahin dar-ba-dar nahin rahta
- Book : Khizan mera Mosam (Pg. 97)
- Author : Hassan Akbar Kamal
- Publication : Seep Publications, karachi (1980)
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.