husn-e-aKHlaq-o-mohabbat ki faza chhoD aae
husn-e-aḳhlāq-o-mohabbat kī fazā chhoḌ aa.e
ham jahāñ pahuñche vahāñ bū-e-vafā chhoḌ aa.e
jab chale ghar se to rāziq kā patā chhoḌ aa.e
apne bachchoñ ke liye nām-e-ḳhudā chhoḌ aa.e
ġhair ke saath unheñ hañstā huā chhoḌ aa.e
ḳhair ke saa.e ko ham apnī duā chhoḌ aa.e
vo tamannā.eñ kabhī zinda nahīñ rah saktīñ
un kī mahfil meñ jinheñ rotā huā chhoḌ aa.e
is se pahle ki tirā naam na rusvā ho jaa.e
ḳhuld-āsā tire kūche kī fazā chhoḌ aa.e
apne hāthoñ se tarāshe the kabhī jo ham ne
terī vahdat kī qasam sab vo ḳhudā chhoḌ aa.e
nigah-e-lutf ko ek ek kā muñh takte haiñ
ham ḳhudā jaane kahāñ apnī anā chhoḌ aa.e
'shād' jis raah se haq DhūñDne vaale guzre
ham bhī us raah meñ qadmoñ kī ziyā chhoḌ aa.e
husn-e-aKHlaq-o-mohabbat ki faza chhoD aae
hum jahan pahunche wahan bu-e-wafa chhoD aae
jab chale ghar se to raaziq ka pata chhoD aae
apne bachchon ke liye nam-e-KHuda chhoD aae
ghair ke sath unhen hansta hua chhoD aae
KHair ke sae ko hum apni dua chhoD aae
wo tamannaen kabhi zinda nahin rah saktin
un ki mahfil mein jinhen rota hua chhoD aae
is se pahle ki tera nam na ruswa ho jae
KHuld-asa tere kuche ki faza chhoD aae
apne hathon se tarashe the kabhi jo hum ne
teri wahdat ki qasam sab wo KHuda chhoD aae
nigah-e-lutf ko ek ek ka munh takte hain
hum KHuda jaane kahan apni ana chhoD aae
'shad' jis rah se haq DhunDne wale guzre
hum bhi us rah mein qadmon ki ziya chhoD aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.