husn-e-talab ko wasf tumhaara samajh liya
husn-e-talab ko vasf tumhārā samajh liyā
ham ne jhukī nazar kā ishāra samajh liyā
andar se TuuT phuuT bhī hotī chalī ga.ī
ham ne shikast-e-jāñ ko gavārā samajh liyā
mānūs is tarah hue tuġhyāniyoñ se ham
mauj-e-balā ko ham ne kināra samajh liyā
apnoñ se duur ġhair to phir ġhair thā magar
tinke ko Dūbte ne sahārā samajh liyā
aaya shab-e-firāq jo aañsū palak talak
ham ne usī ko sub.h kā taarā samajh liyā
sūd-o-ziyāñ meñ is liye ham ghir ga.e bahut
āsūdgī ko ham ne sahārā samajh liyā
'ādil' ne boltī huī āñkhoñ meñ jhāñk kar
mafhūm iltifāt kā saarā samajh liyā
husn-e-talab ko wasf tumhaara samajh liya
hum ne jhuki nazar ka ishaara samajh liya
andar se TuT phuT bhi hoti chali gai
hum ne shikast-e-jaan ko gawara samajh liya
manus is tarah hue tughyaniyon se hum
mauj-e-bala ko hum ne kinara samajh liya
apnon se dur ghair to phir ghair tha magar
tinke ko Dubte ne sahaara samajh liya
aaya shab-e-firaq jo aansu palak talak
hum ne usi ko subh ka tara samajh liya
sud-o-ziyan mein is liye hum ghir gae bahut
aasudgi ko hum ne sahaara samajh liya
'adil' ne bolti hui aankhon mein jhank kar
mafhum iltifat ka sara samajh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.