husn-parwar shabab kya kahna
husn-parvar shabāb kyā kahnā
garmī-e-āftāb kyā kahnā
husn aur mahv-e-ḳhvāb kyā kahnā
phir shab-e-māhtāb kyā kahnā
ye shabāb aur ye siyāh naqāb
abr meñ āftāb kyā kahnā
jaise gulshan ko rakh liyā dil meñ
nazar-e-intiḳhāb kyā kahnā
ye chhalakte hue sharāb ke jaam
ye fazā ye sahāb kyā kahnā
tū ne shah dī gunāhgāroñ ko
rahmat-e-be-hisāb kyā kahnā
sar bhī ye ḳham hai rū-ba-rū tere
qāmat-e-lā-javāb kyā kahnā
do-jahāñ par hai eqtidār tirā
dil-e-ḳhāna-ḳharāb kyā kahnā
sham.a jaise kañval meñ ho raushan
aap kā ye hijāb kyā kahnā
husn-parwar shabab kya kahna
garmi-e-aftab kya kahna
husn aur mahw-e-KHwab kya kahna
phir shab-e-mahtab kya kahna
ye shabab aur ye siyah naqab
abr mein aaftab kya kahna
jaise gulshan ko rakh liya dil mein
nazar-e-intiKHab kya kahna
ye chhalakte hue sharab ke jam
ye faza ye sahab kya kahna
tu ne shah di gunahgaron ko
rahmat-e-be-hisab kya kahna
sar bhi ye KHam hai ru-ba-ru tere
qamat-e-la-jawab kya kahna
do-jahan par hai eqtidar tera
dil-e-KHana-KHarab kya kahna
shama jaise kanwal mein ho raushan
aap ka ye hijab kya kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.