hun kam-nigahi se nalan main hashiye ki tarah
huuñ kam-nigāhī se nālāñ maiñ hāshiye kī tarah
nahīñ maiñ TuuT ke bikhrā huuñ hausle kī tarah
ab aise dil kā koī qadr-dāñ bhī kyā hogā
hazār TukḌoñ meñ bikhrā jo aa.ine kī tarah
tumhārī yaad kā saaya thā yā ki thā tūfāñ
udaas kar gayā sunsān rāste kī tarah
miTe miTe sahī kuchh naqsh chhoḌ jā.ūñgā
talāsh hogī mirī gum-shuda pate kī tarah
ye bevafā.ī bhī sahrā nahīñ to phir kyā hai
simaTtī hī nahīñ be-rabt fāsle kī tarah
kyoñ jugnū aañkh ke kone meñ aa ga.e haiñ abhī
uchhāltā hai mujhe kaun qahqahe kī tarah
bikhar na jaa.e kahīñ ḳhvāb aañkh khulte hī
sañbhāl kar ise rakhnā hai aa.ine kī tarah
koī to aisī sanad chhoḌ ke maiñ jā.ūñgā
na bhuul paa.eñ mujhe log hādse kī tarah
thakan se chuur huuñ nazreñ haiñ āsmāñ kī tarah
shikast maan nahīñ saktā hausle kī tarah
ye aarzū hai ki hassās dil ko chhū jā.ūñ
mirī bhī qadr ho be-lāg tabsire kī tarah
baras rahā huuñ kyoñ banjar zamīn par 'anvar'
barat rahā hai mujhe kaun tajrabe kī tarah
hun kam-nigahi se nalan main hashiye ki tarah
nahin main TuT ke bikhra hun hausle ki tarah
ab aise dil ka koi qadr-dan bhi kya hoga
hazar TukDon mein bikhra jo aaine ki tarah
tumhaari yaad ka saya tha ya ki tha tufan
udas kar gaya sunsan raste ki tarah
miTe miTe sahi kuchh naqsh chhoD jaunga
talash hogi meri gum-shuda pate ki tarah
ye bewafai bhi sahra nahin to phir kya hai
simaTti hi nahin be-rabt fasle ki tarah
kyon jugnu aankh ke kone mein aa gae hain abhi
uchhaalta hai mujhe kaun qahqahe ki tarah
bikhar na jae kahin KHwab aankh khulte hi
sanbhaal kar ise rakhna hai aaine ki tarah
koi to aisi sanad chhoD ke main jaunga
na bhul paen mujhe log hadse ki tarah
thakan se chur hun nazren hain aasman ki tarah
shikast man nahin sakta hausle ki tarah
ye aarzu hai ki hassas dil ko chhu jaun
meri bhi qadr ho be-lag tabsire ki tarah
baras raha hun kyon banjar zamin par 'anwar'
barat raha hai mujhe kaun tajrabe ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.