ek dagh-e-tamanna hai to ek zaKHm-e-wafa hai
ik dāġh-e-tamannā hai to ik zaḳhm-e-vafā hai
tanhā sā ye dil kitne sharāroñ meñ ghirā hai
aatā hai nazar tum ko jo haala sā sar-e-bām
kuchh aur nahīñ merī umīdoñ kā diyā hai
ye baat nahīñ sirf ki chehre hī na.e haiñ
is shahr ke logoñ kā har andāz nayā hai
jo ḳhaar garāñ-māya mile rāh-e-vafā meñ
baḌh kar unheñ iḳhlās kī palkoñ se chunā hai
phir paḌne lagī hai dar-e-ehsās pe dastak
dekhūñ to sahī kaun hai kyoñ chīḳh rahā hai
kis moḌ pe le aa.ī hai ai gardish-e-ayyām
har samt lapakte hue sho.aloñ kī havā hai
tum anjum-o-mahtāb pe pahuñche to huā kyā
jab dil ke shabistāñ meñ añdherā hī rahā hai
mumkin ho to raushan rakho ehsās kī qindīl
kab chāñd sitāroñ ne bhalā saath diyā hai
kuchh log to gir kar bhī sañbhal jaate haiñ 'at.har'
yaañ ek hī Thokar pe jigar kaañp uThā hai
ek dagh-e-tamanna hai to ek zaKHm-e-wafa hai
tanha sa ye dil kitne shararon mein ghira hai
aata hai nazar tum ko jo haala sa sar-e-baam
kuchh aur nahin meri umidon ka diya hai
ye baat nahin sirf ki chehre hi nae hain
is shahr ke logon ka har andaz naya hai
jo KHar garan-maya mile rah-e-wafa mein
baDh kar unhen iKHlas ki palkon se chuna hai
phir paDne lagi hai dar-e-ehsas pe dastak
dekhun to sahi kaun hai kyon chiKH raha hai
kis moD pe le aai hai ai gardish-e-ayyam
har samt lapakte hue shoalon ki hawa hai
tum anjum-o-mahtab pe pahunche to hua kya
jab dil ke shabistan mein andhera hi raha hai
mumkin ho to raushan rakho ehsas ki qindil
kab chand sitaron ne bhala sath diya hai
kuchh log to gir kar bhi sanbhal jate hain 'athar'
yan ek hi Thokar pe jigar kanp uTha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.