ek mehrban ka sab se baDa Dar bhi main hi tha
ik mehrbāñ kā sab se baḌā Dar bhī maiñ hī thā
aur apnī āstīn ke andar bhī maiñ hī thā
vo maiñ thā jo butoñ kā muḳhālif banā rahā
jis ne unheñ tarāshā vo aazar bhī maiñ hī thā
ye Thiik hai ki mujh pe qayāmat uThā.ī ga.ī
lekin janāb hāsil-e-mahshar bhī maiñ hī thā
mahtāb kī jabīn pe bose bhī mere the
miTTī kā Dher ban ke zamīñ par bhī maiñ hī thā
ik sūkhtī nadī kī duhā.ī thī merī aañkh
us aañkh meñ biphartā samundar bhī maiñ hī thā
maiñ apne pāniyoñ pe koī bulbula-sifat
lauh-e-jahāñ pe harf-e-mukarrar bhī maiñ hī thā
mujh pe hī bāda-mastī kī tohmat lagī thī aur
ḳhum-ḳhāna-e-alast kā sāgar bhī maiñ hī thā
sab-rangī-e-nashāt kā aalam merā vajūd
yak-rangī-e-hayāt kā mehvar bhī maiñ hī thā
ek mehrban ka sab se baDa Dar bhi main hi tha
aur apni aastin ke andar bhi main hi tha
wo main tha jo buton ka muKHalif bana raha
jis ne unhen tarasha wo aazar bhi main hi tha
ye Thik hai ki mujh pe qayamat uThai gai
lekin janab hasil-e-mahshar bhi main hi tha
mahtab ki jabin pe bose bhi mere the
miTTi ka Dher ban ke zamin par bhi main hi tha
ek sukhti nadi ki duhai thi meri aankh
us aankh mein bipharta samundar bhi main hi tha
main apne paniyon pe koi bulbula-sifat
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar bhi main hi tha
mujh pe hi baada-masti ki tohmat lagi thi aur
KHum-KHana-e-alast ka sagar bhi main hi tha
sab-rangi-e-nashat ka aalam mera wajud
yak-rangi-e-hayat ka mehwar bhi main hi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.