ek taqaza pas-e-diwar kiya jaega
ik taqāza pas-e-dīvār kiyā jā.egā
aur phir ishq se inkār kiyā jā.egā
vo sisaktī huī ta.abīr sirhāne hogī
jab mujhe ḳhvāb se bedār kiyā jā.egā
jehlamī jism hai raftār chanābī us kī
us ko āñkhoñ se giraftār kiyā jā.egā
tere ḳhush-rang tasavvur se gurezāñ ho kar
marhala hijr kā dushvār kiyā jā.egā
mere me'yār kā ik dasht banā tū maulā
dekh phir kaise ise paar kiyā jā.egā
rā.egāñ jā.egā ik but kī ḳhudā.ī kā safar
jab hameñ apnā parastār kiyā jā.egā
ek taqaza pas-e-diwar kiya jaega
aur phir ishq se inkar kiya jaega
wo sisakti hui tabir sirhane hogi
jab mujhe KHwab se bedar kiya jaega
jehlami jism hai raftar chanabi us ki
us ko aankhon se giraftar kiya jaega
tere KHush-rang tasawwur se gurezan ho kar
marhala hijr ka dushwar kiya jaega
mere me'yar ka ek dasht bana tu maula
dekh phir kaise ise par kiya jaega
raegan jaega ek but ki KHudai ka safar
jab hamein apna parastar kiya jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.