ilahi jaise hum us sham-e-anjuman se mile
ilahi jaise hum us sham-e-anjuman se mile
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
ilāhī jaise ham us sham-e-anjuman se mile
isī tarah se har ik apne gul-badan se mile
mile na shaiḳh se dil aur na barahman se mile
mile to us ke ruḳh-o-zulf-e-pur-shikan se mile
mue pa qabr meñ kaun aur ḳhasta-tan se mile
kafan badan se mile aur badan kafan se mile
na tañg kar mujhe us ne kahāñ ye muñh paayā
ki gul kā ġhuncha tire ġhuncha-e-dahan se mile
bhulā de us ko abhī pal meñ chaukḌī saarī
nigāh-e-shoḳh agar āhū-e-ḳhutan se mile
ḳhudā ne qat.a kiyā hai tujhī pe ye jaama
phaban kisī kā tire kis tarah phaban se mile
vo chhoḌe kyūñki bhalā mashq dil jalāne kī
maza jise dil-e-āshufta kī jalan se mile
yahāñ to pech uThāyā kare dil-e-sad-chāk
sitam hai shāna vahāñ zulf-e-pur-shikan se mile
fazā-e-sīna meñ yuuñ hai hujūm aahoñ kā
daraḳht jaise ki aapas meñ hoeñ ghan se mile
huā ye hai hameñ irshād-e-mushfiqāna jo kal
ham ek bazm meñ haañ ek ahl-e-fan se mile
ki yaad rakh tū hai sheroñ meñ aib rabt-e-kalām
vo sher hoñ ki na hargiz suḳhan suḳhan se mile
aur ek is ke sivā yaad rakh ye hai ḳhūbī
vo tarz ho ki na tarz-e-nau-o-kuhan se mile
phir us ke ba.ad dam-e-sard bhar ke farmāyā
ye nukte ham ko sunā the baḌe jatan se mile
savere aage bayāñ ham ne kar diye yūñhī
bayān kījiyo jo shā.iqān-e-fan se mile
zahe nasīb tujhe is tarah milī daulat
vo jo mile bhī kisī ko to ek kaThan se mile
kaheñ suneñge ham aapas meñ dard-e-dil apnā
chaman meñ 'aish' jo ham bulbul-e-chaman se mile
ilahi jaise hum us sham-e-anjuman se mile
isi tarah se har ek apne gul-badan se mile
mile na shaiKH se dil aur na barahman se mile
mile to us ke ruKH-o-zulf-e-pur-shikan se mile
mue pa qabr mein kaun aur KHasta-tan se mile
kafan badan se mile aur badan kafan se mile
na tang kar mujhe us ne kahan ye munh paya
ki gul ka ghuncha tere ghuncha-e-dahan se mile
bhula de us ko abhi pal mein chaukDi sari
nigah-e-shoKH agar aahu-e-KHutan se mile
KHuda ne qata kiya hai tujhi pe ye jama
phaban kisi ka tere kis tarah phaban se mile
wo chhoDe kyunki bhala mashq dil jalane ki
maza jise dil-e-ashufta ki jalan se mile
yahan to pech uThaya kare dil-e-sad-chaak
sitam hai shana wahan zulf-e-pur-shikan se mile
faza-e-sina mein yun hai hujum aahon ka
daraKHt jaise ki aapas mein hoen ghan se mile
hua ye hai hamein irshad-e-mushfiqana jo kal
hum ek bazm mein han ek ahl-e-fan se mile
ki yaad rakh tu hai sheron mein aib rabt-e-kalam
wo sher hon ki na hargiz suKHan suKHan se mile
aur ek is ke siwa yaad rakh ye hai KHubi
wo tarz ho ki na tarz-e-nau-o-kuhan se mile
phir us ke baad dam-e-sard bhar ke farmaya
ye nukte hum ko suna the baDe jatan se mile
sawere aage bayan hum ne kar diye yunhi
bayan kijiyo jo shaiqan-e-fan se mile
zahe nasib tujhe is tarah mili daulat
wo jo mile bhi kisi ko to ek kaThan se mile
kahen sunenge hum aapas mein dard-e-dil apna
chaman mein 'aish' jo hum bulbul-e-chaman se mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.