is aalam-e-pur-dard mein dukh sab ka KHuda hai
is ālam-e-pur-dard meñ dukh sab kā ḳhudā hai
dil bārgah-e-dukh meñ aqīdat se khaḌā hai
ai shām-nashīñ raat kī tahvīl meñ aa jā
ik ḳhvāb tirī rāhguzar dekh rahā hai
dānista kabhī chhū ke vo lazzat nahīñ paa.ī
jo lutf kisī lams ke dhoke se milā hai
sāvan ke pujārī se kaho kyā hī karegā
is baar to āñkhoñ meñ ġhazab kaal paḌā hai
vo koī qayāmat nahīñ bas āfat-e-jāñ thā
bekār tire shahr meñ ik hashr bapā hai
sab haar diye jaane kā ġham chhoḌ yudhishThir
mādhav kī taraf se ye shubhārambh huā hai
is aalam-e-pur-dard mein dukh sab ka KHuda hai
dil bargah-e-dukh mein aqidat se khaDa hai
ai sham-nashin raat ki tahwil mein aa ja
ek KHwab teri rahguzar dekh raha hai
danista kabhi chhu ke wo lazzat nahin pai
jo lutf kisi lams ke dhoke se mila hai
sawan ke pujari se kaho kya hi karega
is bar to aankhon mein ghazab kal paDa hai
wo koi qayamat nahin bas aafat-e-jaan tha
bekar tere shahr mein ek hashr bapa hai
sab haar diye jaane ka gham chhoD yudhishThir
madhaw ki taraf se ye shubhaarambh hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.