is kaDi dhup se bachna hai to saya DhunDo
is kaḌī dhuup se bachnā hai to saaya DhūñDo
dar-o-dīvār kī bāñhoñ kā sahārā DhūñDo
dam hī ghuT jaa.e na ik roz fasīl-e-ġham meñ
haath par haath dhare baiThe ho rasta DhūñDo
jab sakat tum meñ nahīñ maujoñ se Takrāne kī
yahī behtar hai ki dariyā kā kinārā DhūñDo
naag tanhā.ī ke ḳhuuñ chāTte hoñge shab meñ
shahr meñ shaam hī se koī shanāsā DhūñDo
shādmānī ho jahāñ nūr-o-tajallī ho jahāñ
ab koī aisī hī apne liye duniyā DhūñDo
jagmagāte hue chehroñ pe na jaao logo
kaun kyā hai ye haqīqat pas-e-parda DhūñDo
is kaDi dhup se bachna hai to saya DhunDo
dar-o-diwar ki banhon ka sahaara DhunDo
dam hi ghuT jae na ek roz fasil-e-gham mein
hath par hath dhare baiThe ho rasta DhunDo
jab sakat tum mein nahin maujon se Takrane ki
yahi behtar hai ki dariya ka kinara DhunDo
nag tanhai ke KHun chaTte honge shab mein
shahr mein sham hi se koi shanasa DhunDo
shadmani ho jahan nur-o-tajalli ho jahan
ab koi aisi hi apne liye duniya DhunDo
jagmagate hue chehron pe na jao logo
kaun kya hai ye haqiqat pas-e-parda DhunDo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.