is se pahle ki mizaj apna samundar badle
is se pahle ki mizāj apnā samundar badle
sust raftār safīnoñ ne bhī tevar badle
ban ga.ī teġh-e-ravāñ mauj-e-havā-e-hijrāñ
shaam aa.ī to tirī yaad ne paikar badle
mausam-e-tāza kī aahaT hai mire kānoñ meñ
barg shāḳhoñ ne parindoñ ne na.e par badle
merī miTTī meñ hai jazb us ke badan kī ḳhushbū
niiñd kā lutf hī uḌ jaa.e jo bistar badle
sadaf-e-dil meñ jo gauhar thā vahī hai ab bhī
yuuñ to dariyāoñ ne har roz shanāvar badle
aaj bhī aks vahī hai jo bahut pahle thā
ā.ina-ḳhāne meñ ā.īne to aksar badle
na.e alfāz-o-ma.ānī kī talab hai 'sāhil'
ġhair-mumkin hai mizāj apnā suḳhanvar badle
is se pahle ki mizaj apna samundar badle
sust raftar safinon ne bhi tewar badle
ban gai tegh-e-rawan mauj-e-hawa-e-hijran
sham aai to teri yaad ne paikar badle
mausam-e-taza ki aahaT hai mere kanon mein
barg shaKHon ne parindon ne nae par badle
meri miTTi mein hai jazb us ke badan ki KHushbu
nind ka lutf hi uD jae jo bistar badle
sadaf-e-dil mein jo gauhar tha wahi hai ab bhi
yun to dariyaon ne har roz shanawar badle
aaj bhi aks wahi hai jo bahut pahle tha
aaina-KHane mein aaine to aksar badle
nae alfaz-o-maani ki talab hai 'sahil'
ghair-mumkin hai mizaj apna suKHanwar badle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.