is Thahraw se pahle bataen kaise rahte the
is Thahrāv se pahle batā.eñ kaise rahte the
ham dariyā the apnī mauj meñ bahte rahte the
us ke ġhalat ravayye par chup rahnā paḌtā thā
laḌ sakte the us se magar ham sahte rahte the
us ne dhoka de ke batāyā duniyā kaisī hai
varna ham kyā ḳhaak samajhte jaise rahte the
us bastī meñ ek ġhazab kā mela lagtā thā
vo aatī rahtī thī ham bhī aate rahte the
in āñkhoñ meñ ḳhvāboñ vaale jugnū raushan the
in chehroñ pe aksar phuul baraste rahte the
dil-āzārī karnā apnā kaam thā duniyā meñ
jo kuchh bhī jī meñ aa jaatā kahte rahte the
is Thahraw se pahle bataen kaise rahte the
hum dariya the apni mauj mein bahte rahte the
us ke ghalat rawayye par chup rahna paDta tha
laD sakte the us se magar hum sahte rahte the
us ne dhoka de ke bataya duniya kaisi hai
warna hum kya KHak samajhte jaise rahte the
us basti mein ek ghazab ka mela lagta tha
wo aati rahti thi hum bhi aate rahte the
in aankhon mein KHwabon wale jugnu raushan the
in chehron pe aksar phul baraste rahte the
dil-azari karna apna kaam tha duniya mein
jo kuchh bhi ji mein aa jata kahte rahte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.